Friday, May 17, 2024
HomeIndiaMadhya pradesh ke sabiq wazeer-e-aala Babulal Gaur ka dehant

Madhya pradesh ke sabiq wazeer-e-aala Babulal Gaur ka dehant

Bhopal : Madhya pradesh ke sabiq wazeer-e-aala aur BJP ke senior leader Babulal Gaur ka lambi beemari ke baad Chaharshambe ki subah Bhopal ke Narmada hospital mein Dehant hogaya. woh 89 saal ke the. woh kaafi arsa se bemaar they. unka blood pressure kam honay par inhen hospital mein daakhil karaya gaya tha.

Babulal Gaur ke Dehant par kayi leadroun ne afsos ka izhaar kiya hai. Babulal Gaur ke Dehant par wazeer-e-aazam Narendra Modi ne Tweet kiya ke ”Babulaal gaur ne kayi dahaoun tak awam ki khidmat ki. BJP  ke dinon se unhon ne hamari party ko mazboot bananay ke liye laga taar kaam kiya. Madhya pradesh ke wazeer aur wazeer-e-aala ki haesiyat se unhon ne riyasat ki taraqqi ke liye bohat saari koshishen kee. unki mout se dukhi unke ahal-e-khanah se mein izhaar taaziyat karta hon.

BJP ke rukan-e-parliment Rakesh Sinha ne tweet kar ke likha ”Yeh intahai afsos ki baat hai ke hamaray sarparast, BJP  ke senior  rehnuma aur Madhya pradesh ke sabiq wazeer-e-aala, Babulal Gaur jee nahi rahay. unhon ne riyasat mein party ko mazboot bananay mein ahem kirdaar ada kiya tha.

Babulal Gaur Madhya pradesh ke badey leadron mein shumaar kiye jatay they. unka asli naam Babu Ram Yadav tha. unki paidaiesh 2 June 1930 ko Uttar pradesh ke Pratabgarh zila mein hui thi. unhon ne bhopal ki Pothamil mein mazdoori karte hue apni taleem poori ki thi. school ke daur se hi woh RSS ki shaakh ko jaya karte the. unhon ne kayi mazdoor tehrikon mein hissa liya. woh hindustan mazdoor singh ke baaniw o rukan the.

Babulal Gaur pehli baar 1974 junoobi assembly halqa ke zimni intikhabaat mein pehli baar azad rukan-e-assembly muntakhib hue the. woh 7 March 1990 se 15 decemeber 1992 tak Madhya pradesh ke wazeer baldiyat, qanoon saazi ke umoor, taluqaat aama, shehri behbood, shehri housing aur bhali, wo wazeer imdaad rahay. Aur wo 4 September 2002 se 7 decemeber 2003 taq Madhya pradesh qanoon saaz assembly mein opposition leader bhi rahay. woh 23 august 2004 se 29 November 2005 tak Madhya pradesh ke wazeer-e-aala rahe. –YTN STAFF