Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaMadhya Pradesh ke BJP rehnuma ne CAA ki sakht mukhalifat ki

Madhya Pradesh ke BJP rehnuma ne CAA ki sakht mukhalifat ki

Bhopal: Madhya Pradesh ke Maihar se talluq rakhay walay BJP ke rukan Assembly Narayan Tripathi ne Shehriat Tarmeemi Act ( CAA ) ki sakht mukhalifat ki hai. Unhoun ne kaha hai ke ”Mulk ko mazhab ke naam par taqseem nahi kiya jana chahiye“.

BJP rehnuma ne kaha ” Ya to aap ayeen ke sath hain ya khilaaf mein hain aur agar ayeen ke hisaab se nahi chalna hai to ayeen ko phaad kar pheink dena chahiye“. Unhoun ne mazeed kaha ke mai gaon se aaya hon aur gaon mein aaj Aadhaar Card nahi banee jatay hain to baqi kaghaz kahan se layen ge“. Unhoun ne kaha ke loog Aadhaar Card banane mein nakaam hain, Baqi kaghzat kahan se layenge“.

BJP rukan Assembly ne kaha ke ”Mulk mein gharelo pareshani ki haalat hai. Aaj gaon ke loog ek dosray ki taraf bhi nahi dekh rahay hain. Unhoun ne kaha ke” Vasudhaiva Kutumbakam“ ki baat ho rahi hai, Lekin mazhab ke naam par taqseem kiya ja raha hai. Jab BJP rehnuma se kaha gaya ke aap party hudood se hatt kar bayan day rahay hain, To unhoun ne kaha ke ye mere dil ki aawaz hai.

Wazeh ho ke markazi hukoomat ke mutanazia Shehriat Tarmeemi Qanoon ( CAA ) ke khilaaf mulk ke kayi hissoun mein ehtajaji muzahiray ho rahay hain. Mulk ke dar-ul-hukoomat Dehli ke Shaheen Bagh sameit ek darjan se zayed maqamat par loog, khas kar gharelo khawateen apne bachoun ke hamrah is mutanazia qanoon ke khilaaf muzahiray kar rahay hain.

Shaheen Bagh mein pichlle 43 dinoun se khawateen ehtajaji dharne par baithy hain. Is ke ilawa, Lacknow, Patna, Hyderabad, Mumbai aur Mulk ke deegar shehroun sameit mutadid maqamat par loog muzahiray kar rahay hain. Aur CAA ke ilawa NRC aur NPR ko wapas laine ka mutalba kar rahay hain, Magar hukoomat un qawaneen ko wapas laine se inkaar kar rahi hai. Magar hukumran jamaat ke Narayan Trpathi jaisay rehnuma apni jamaat ke khilaaf ja kar un kalay qawaneen ki mukhalifat mein baat kar rahay hain. –YTN STAFF