Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaMade In India Test Kit, Hindustan ki Corona ke khilaf pehli kamyabi

Made In India Test Kit, Hindustan ki Corona ke khilaf pehli kamyabi

New Delhi: Coronavirus ki rokk thaam ke liye Hindustan ke Doctors aur Science danoun apni poori koshish kar rahay hain aur aisi koshish ke douran Hindustan ko ek badi kamyabi mili hai. Mulk mein sirf daidh mahinay ke andar COVID-19 ki jaanch ke liye Made In India Test Kit tayyar hogaya hai. Pune ki ek Bio-Technology Company apni machinoun se Test Kit tayyar karne lageygi. Dr Hasmukh Rawal ki qayadat mein Top Bio-Technologist ki ek Cover Team ne daidh mahinay ke andar is Kit ko tayaar kiya aur Indian Council Of Medical Research ( ICMR ) se peer ko usay manzoori bhi mil gayi.

Hindustan mein tayyar 4500 rupay ki laagat walay Test Kit ke nataij sirf 2.5 ghantay mein samnay aa jatay hain jab ke aam tor par COVID-19 Infection ki jaanch ke nateejay anay mein 6 se 8 ghantoun ka waqt lagta hai. Dr Rawal ne khabar rasan idaara guftagu karte huve kaha ke hum ne Molecular Diagnostic Technology ka istemaal kiya aur nateeja kaafi aaccha aaya. Hum ne WHO ke jadeed paimaanoun par amal kiya. Hindustan mein COVID-19 Testing Kit ko tayyar karne ke mansoobah par Rawal ne kaha ke jaisay hi China mein waba ka qehar badha, Pune ki un ki Lab ke Sciences is ko bananay mein masroof hogaye.

 Dr Rawal ne mazeed kaha ke Bio-Technologist Dr Gautam Wankhede, Dr Shifali aur kayi deegar ahem Science danoun ke sath 2 mahinay qabal January mein hum neh apni Cover Team ka ek ijlaas talabb kiya. Hamari Team ko Pethogen ka pata laganay aur Viral Load Monitoring ke liye Diagnosis Kit tayyar karne ka tajurbah tha, Is liye hamaray paas mahaarat thi aur Research and Development ka kaam taizi se shuru huva.

Dr Rawal ne mazeed kaha ke kuch hi dinoun mein cheezain saaf honay lagen aur kuch haftoun mein hamein pata chal chuka tha ke hamaray Bio-Technologist Kit ko tayyar karne mein kamyaab ho gaye hain. Rawal ne kaha ke unhein is baat ki khoshi hai ke peer ki subah hi unhein National Institute Of Virology se ICSR ki manzoori mili. Bio-Technologist ne kaha ke koi bhi Company ye daawa kar sakti hai ke is ne ek Test Kit tayyar kiya hai, Lekin kayi pemanay pooray karne hotay hain aur aakhir kaar bohat hi behtar nataij faraham karne mein ahal Numeral ko hi hukoomat ke zareya manzoori di jati hai. –YTN STAFF