Baghdad: Francesi sadar Emmanuel Macron ka pehla dora, Iraq ka pehla sarkari dora karne sab ki tavajja ka markaz hai jahan inhen umeed hai ke America aur Iran ke darmain kasheedgi aur haliya tanao ke bawajood Baghdad ko apni khudmukhtaari ka iada karne mein madad miley gi. Bohraan se mutasir Lebanon ke dar-ul-hukoomat Beirut ke do roza safar se yahan pounchanay walay Macron May mein Wazeer e Azam Mustafa al-Kadhimi ke iqtidaar mein anay ke baad Macron ka pehla dora Iraq ka dora karne walay sab se ahem rehnuma hain.
Yaad rahay ke mangal ki shaam taq is safar ka awaami tor par elaan nahi kiya gaya tha. Paris aur Baghdad mein ohdedaron ny security wajohaat ki binaa par intizamaa par sakht khamoshi ikhtiyar ki thi. Beirut doray ke douran apni aakhri raat ko Macron ny elaan kiya ke woh Iraq ki khudmukhtaari ke amal ki himayat ke liye aqwam mutahidda ke shana bashana ek pehal karne ke liye Baghdad jarahay hain. Iraq ki khudmukhtaari ke liye jad-o-jehad zurori hai, Yeh bayan Macron ny Lebanon rawaangi se qabal sahafion ko diya tha.
Unhoun nay kaha ke Iraqi awam jinhon nay bohat ziyada nuqsaan uthaya ilaqai taqaton ya Islam pasand intahaa pasandi ke tasallut ke ilawa bhi deegar masrofiyat ke mustahiq hain. Yahan aisay rehnuma aur loog mojood hain jo is se waaqif hain aur woh apni manzil maqsood ko haasil karna chahte hain. Macron nay kaha ke France ka kirdaar un ki madad karne mein hai. 2003 mein Americi qayadat mein hamlay ke baad Saddam Hussain ko aur unkay ehad ko khatam kiya gaya jis ke baad Iraq ko chay saal qabal firqa waranah tanazuath ki lehron nay tabah kardiya tha.
Is ke ilawa Iraq ko Iran aur America ke tanazeaat ki wajah se bhi kaafi nuqsaan uthana pada. Rawan saal hi Americi ek Drone hamlay mein Baghdad mein aala Irani general Qasim Sulemani halaak hewa, Jis se Iran ko Iraq mein Americi fojion ke khilaaf missile daghnay ka mauqa mila.
Tehran ke himayat yafta garohoon ko haliya mahino mein Iraq mein Americi safarti, Fouji aur tijarti mafadaat par Rockets se hamla karne ka shuba hai. Oil Cartel OPEC ka dosra sab se bada producer honay ke natey aalmi qeemat ke khatmay se Iraq bhi sakht mutasir huwa hai aur coronavirus wabai amraaz ney is ki naazuk maeeshat ko mazeed taba kiya hai lehaza un tamam halaat mein France ney is ki himayat ka ishara diya hai.