Friday, April 19, 2024
HomeOthersTechnologyMachines ko chovay baghair ATM se raqam nikaalne ki sahoolat

Machines ko chovay baghair ATM se raqam nikaalne ki sahoolat

Hyderabad: Aap ATM machine ke kisi bhi hissa ko chovay baghair hi jald hi ab ATM se naqad raqam nikaal sakenge. AGS Transact Technologies ju naqd aur digital adaigi ke hal aur Auto Mission Technology faraham karti hai is ne kaha ke is ne corona ke wabai amraaz ki roshni mein ek touchless ( chovay baghair ) ATM kamyabi ke sath tayyar kiya hai aur is ka tajurbah kiya hai. Contect Less ( chovay baghair ) jo filhaal dilchaspi rakhnay walay Banks mein tajurbati tor par istemaal ho rahay hain. Is nai Technology ka istemaal bhi kaafi aaasaaan hai ke ek Sarif Mobile App ka istemaal karkay ATM se naqad raqam nikaal sakta hai. Sarif ko aasani se ATM screen par dekhaye jaaney walay QR Code Scan karna hai aur apne bank ke mobile Application ki hidayat par amal karna hai. Is mein ATM Machine se naqad raqam nikaalne ke liye darkaar raqam aur MPN shaamil karna hai. Company ke mutabeq QR code ki khasusiyat naqad raqam nikaalte ko taiz aur ziyada mehfooz banati hai aur ATM Pin ya Card Screening ke khadshaat ko kam kardeti hai.

AGS Transact Technologies Ltd ke chairman aur MD Ravi B Goyal ne kaha ke naya touch less ATM jo sarfeen ki hifazat ko yakeeni banata hai aur behter security ke sath naqd raqam nikaalte ki sahoolat faraham kere ga. AGSTTL ne ab tak mulk bhar mein 72 hazaar se ziyada ATM ke Network ko Install, Dekh bhaal aur intizam kiya hai aur sarkardah banks ko apni marzi ke mutabiq hal bhi faraham kiya hai.

Company ne is se qabal UPI QR Code par mabni Cash ka hal Bank of India ke sath shiraakat mein pesh kiya tha. Ye bhi isi terhan kaam karta hai. Apne Smartphone par bank mobile Application kholeen aur QR Cash Enroll ko muntakhib karen. Wo raqam tehreer karen jo aap mobile App par haasil karna chahtay hain aur ATM screen par QR Code Scan karen. Is ke baad App mein agay badheen par click karkay raqam ki tasdeeq karen aur Transaction ki toseeq ke liye Pin tehreer karen. Ab naqad aur raseed jama karen aur aap ka kaam hogaya. AGS Transact Technologies ke sadar aur Group ke Chief Technology Officer Mahesh Patel ney kaha Cardless aur Touchless ka tareeqakar baghair kisi ATM Machine ke screen ko chone ya Pin number ke bagair insaan Transaction karne ke liye tayyar kiya gaya hai.