Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadMacharoun par qaboo panay ke liye Congress ki janib se muft Fogging...

Macharoun par qaboo panay ke liye Congress ki janib se muft Fogging khidmaat muhayya karne ka elaan

Hyderabad: Macharoon ki laanat par qaboo panay ke liye Hyderabad o Secundrabad may muft Fogging khidmaat muhayya ki jayen gi. City Congress Committee ( HCC ) aqliati mehakma ke Chairman Sameer Waliullah ne ye baat kahi. Sameer Waliullah ne hafta ke roz ek bayan mai kaha ke Greater Hyderabad Municiple Carporation macharoon ke marz par qaboo panay mai nakaam rahi hai, jis ke nateejay mai Dengue, Maleriya o deegar bimarion ki waba phail gayi hai.

unhoun ne kaha ke Dengue aur Maleria ke Cases mai izafay ke bawajood, GHMC ne Hyderabad mai  Operation shuru nahi kiya. lehaza unhoun ne kaha ke niji tor par mutasirah ilaqoun mai Fogging Operation ka faisla kiya gaya hai.

Congress Leader ne mazeed kaha ke ” 1 help Line Number shuru kiya gaya hai, jis par awam apne ilaqoun mai Fogging karna chahain to Phone kar satke hain. wo is Number 9100109111 par Phone kar satke hain, unki darkhwast darj kar li jayegi aur Operator ke sath hi Fogging machine bhaije jayegi. is ke ilawa log Twitter @ sameer waliullah ke tavassut se bhi darkhwast bhaij satke hain.

unhoun ne kaha ke mukhtalif ilaqon mai Dengue aur deegar Viral bimarion ke muft Check Up aur aduyaat ki farahmi ke liye Medical Camp munaqqid kiye jayen ge. unhoun ne kaha ke is Mansoon ke douran Hyderabad mai sahet ki sorat e haal kaafi bad tar ho gayi hai. GHMC ke ohdedar apni hudood mai Fogging aur Anti-larval Operation karne ke barray daaway kar rahay hain, taham, sarkari aur niji Hospitals mai Vector se peda honay wali bimarion ki taadad ne inkishaaf kiya hai ke baldiya hakkaam ya to jhoot bol rahay hain ya unhoun ne apna kaam theek terhan se nahi kiya.

unhoun ne kaha ke GHMC ne sorat e haal ki shiddat ko nazar andaaz karte huve allamati andaaz mai Fogging aur insidaad lava Operation kiye. unhoun ne kaha ke agarchay ke shehar mai kuch dinoun se barish nahi ho rahi hai, taham abhi bhi Dengue, Maleria aur deegar Viral bimarion ke mutadid Cases daraj  hoye hain lehaza insidaad Dengue muhim ko Mission mood par apnaana chahiye aur is khatray par qaboo panay ke liye har shehri ko kosh karni chahiye.

Congress Leader ne mazeed kaha ke pichlle 3. chaar mah mai Dengue aur deegar amraaz ki wajah se aam aadmi par bohat ziyada assar para hai. jabkay kayi jaane bhi ja chuki hain. aam logoun ne un amraaz ke ilaaj ke liye Private Hospitals mai kaafi pesey kharch kiye hain. TRS hukoomat ne Hospitals mai qeematoun mai kami ke liye koi iqdaam nahi kiya hai. jis se awam ko bhaari raqam ada karna pada hai. Sameer waliullah ne Congress Party ke kaarkunon se khwahish ki hai ke wo is Fogging muhim mai barh charh kar hissa le. -YTN STAFF