Tuesday, May 7, 2024
HomeOthersHealthMaa ke doodh se bachay mein Corona muntaqil nahi hota : Dr...

Maa ke doodh se bachay mein Corona muntaqil nahi hota : Dr Mohammad

Riyadh: Wabai marz Corona ke phelao ke roknay ke liye har mumkina koshish hakoomati aur khangi tor par kiye jarahay hain lekin is douran ye inkishaaf bhi huwa hai ke mutasirah Maa agar shirkhuwar ko doodh pilate hai to is amal se Corona Maa se bachay mein muntaqil nahi hota hai.

Saudi wizarat sahet ke tarjuman Dr Mohammad Al-Abad Al Ali ne kaha hai ke Maa ke doodh se Coronavirus shirkhuwar mein muntaqil nahi hota. Tarjuman ne kaha ke ab tak aisi koi Report Record par nahi aayi jis se pata chalta ho ke Corona ke marz mein mubtala kisi Maa ne apne bachay ko doodh pilaya ho aur wo is se mutasir huwa ho.
Tafseelaat ke mutabiq wizarat sahet ke tarjuman se Novel Coronavirus ki taaza sorat e haal par munaqidah Press Conference ke mauqa par istafsaar kiya gaya tha ke kya Maa ke doodh se shirkhuwar mein Coronavirus muntaqil hojata hai.

Tarjuman wizarat sahet ne kaha ke maaen nomolood ko doodh pilanay se qabal hifazati Mask ki pabandi karen taakay bacha Virus ki muntaqili se mehfooz rahay. Jahan tak doodh pilanay ka talluq hai to is mein koi harj nahi.

Dr Al-Abad Al-Ali ne mazeed kaha ke Saudi Arab mein Coronavirus se mutasir maa ban’nay wali khawateen ki sahet nighdasht aala darjay ki hai. Aisi kayi khawateen jo Coronavirus mein mubtala then bachoun ko janam day chuki hain aur un ke bachay Corona se mehfooz hain. Ek din qabal Riyadh mein bhi is qisam ka waqea hochuka hai.

Al-Abad Al Ali ne Corona se mutasir maa ban’nay wali khawateen ko kayi mashwaray diye. Unhoun ne kaha ke maa ban’nay wali khawateen safai ka ghayer-maa’mooli ihtimaam karen gharoun mein khud ko allag thalag rakhen. Doctoron se musalsal rujoo karti rahen. Taaqat wali adwiyah pabandi se len aur in tamam adwiyaat ki pabandi karen jo Dr inhen tajweez kiye huve hon. –YTN STAFF