Monday, April 29, 2024
HomeSliderLyon nahi Ashwin ki rasai 800 wicketoun tak mumkin: Murli

Lyon nahi Ashwin ki rasai 800 wicketoun tak mumkin: Murli

Sydney: Srilanka ke sabiq of spinner Muthya Murlidharan mehsoos karte hain ke sirf Ashwin hi test cricket mein 700 ya 800 wickten haasil kar saktay hain aur mojizey se aagay hain. Doosri janib kal yahan Brisbane mein Hindustan ke khilaaf series ke chouthay aur aakhri test mein australiyai spinner Nathon Lyon apne career ka 100 test khel rahay hain lekin Murlidharan mehsoos karte hain ke Lyon 700 ya 800 ha wickets ke husool ke liye doudh may shamil nahi hai.

Murlidharan ke naam 800 wickten darj hain jo kay ek  qabil-e-sataish record hai jiske baad dosray number par ashwin hain jinke naam 708 wickten darj hain jabkay teesray number par Anil kmble ka naam darj hai jinhon ne taweel tareen cricket tareten me ki 619 wickets hasil ki hain. Murli dharan ne kaha hai keh Ashwin ko yeh mauqa dastyab hai ke woh 800 wicketon ka record tod satke hain kyunkay Lyon ke paas ab itna waqt nahi raha ke woh 800 wickten haasil karen kyunkay unke naam 396 wickten darj  hai aur wo ankhareeb 400 ka hinds uboor karsakte hai. Doosri janib Ashwin ne 74 teston mein 377 wickten haasil kar chukay hain jabkay un ka ost 25.53 hai doosri janib Lyon ne 99 test muqablay khail chuke hain aur 31. 98 ki ost se woh wickten haasil kar rahay hain.

Ashwin aur Lyon ke alawa is waqt koi bhi spinner test cricket mein is daud mein shaamil nahi hain. Murlidharan ne kaha ke is waqt twenty 20 aur ODI ziyada kheli jarahi hai aur test cricket ki tadaad kam hochuki hai. Murli dharan ne mazeed kaha ke jab mein cricket kheltaa tha to batsman takneeki tor par kaafi behtar honay ke alawa wickten batting ke liye sazgaar bhi hoti thi aur woh muqablay teen dinon mein khatam karne ke liye koshan hotay thay. Yahi wajah hai keh is waqt mein wickten haasil karne ke liye bowlron ko ziyada mehnat karni padtee thi lekin aaj cricket badal chuki hai aur bowler ke liye wicket haasil karna kisi qader aasaan hochuka hai.

Murlidharan is ehad mein cricket khail chuke hain jab warne, kumble, Saqlain mushtaq, Mushtaq Ahmed aur baad ke waqt mein Harbhajan singh jaisay aalmi miyaar ke spinners mojood thay. Murli ko DRS ke ehad mein ek series khailnay ka mauqa mila aur woh bhi unhon ne 2008 may Hindustan ke khilaaf khela tha. Unhon ne kaha ke agar un ke daur mein DRS ka istemaal aasaan hota to 800 ka hindsa bhi aasani se uboor karliya jata tha.