Tuesday, May 6, 2025
HomeTrending NewsLuxembourg, Mulk ki poori abadi ka Corona Test ka elaan

Luxembourg, Mulk ki poori abadi ka Corona Test ka elaan

Luxembourg City: Europi mulk Luxembourg ne aindah mah ke ekhtataam tak saari abadi ka Corona Test karanay ka mansoobah banaya hai. Francesi khabar rasan Agency ke mutabiq hukoomat ne bataya ke mulk mein har roz 20 hazaar afraad ke Test kiye jayenge. Luxembourg Europe ka ek chhota lekin qadray Ameer mulk hai jis ki sarhadein France, Germany aur Belgium se millti hain. Luxembourg ki kul abadi sirf 6 lakh afraad par mushtamil hai.

Luxembourg hukoomat ki janib se har fard ka Corona Test karne ke elaan ko ek bada aur ahem iqdaam qarar diya ja raha hai jab ke is se qabal 30 hazaar afraad ke Test kiye bhi ja chuke hain. Hukkaam ke mutabiq mulk mein Coronavirus ke 3 hazaar 729 tasdeeq shuda mamlaat hain jabkay 88 afraad ab tak jaan ki baazi haar chuke hain. Luxembourg ke wazeer tehqeeq aur taleem Claude Meisch ne Video Conference ke zariye Reporters ko apni hukoomat ki hikmat e amli se mutaliq aagah kiya.

Hum ek mah ke douran mulk ki poori abadi ka Corona Test karenge. Doosri janib hukoomat ne aindah mah School kholnay ki tayario ke silsilay mein talba aur asateza ko Testing Stations par madoo kiya hai. Hungami Test Programme ke sarbarah Professor Ulf Nehrbass ne kaha hai ke apna Test karwayen! Ye aindah anay walay haftoun aur mahinoun mein hamaray azadana tor par rehne ke liye aap ki janib se bohat ahem shiraakat hogi.

Luxembourg mein mulk geer Coronavirus ke Test karanay par 6 Arab 92 Crore 30 lakh rupay ya 40 Million Euro ya 43 Million Dollar akhrajaat ayenge. Mulk mein lockdown ke marhala waar khatmay ke baad har shehri ko waba se bachao ke liye paanch paanch Masks diye gaye hain. –YTN STAFF