Monday, April 21, 2025
HomeIndiaLucknow ki mandi mein aaya ek anokhi khasiyat wala bakra, jiski qeemat...

Lucknow ki mandi mein aaya ek anokhi khasiyat wala bakra, jiski qeemat hai 30 laakh 786 rupiye

Lucknow : Eid-ul-Azha ke liye Bakroun ki khareed wo farokht jari hai aur har jagah bakroun ki mandiyan lagi hui hain. aur Saheb-e-istetat log qurbani ke liye bakray khareed rahay hain, aur khoob se khoob bakroun ka intikhab kar rahay hain. aur mukhtalif jaghoun par bakroun ki mandiyan lagi hui hain.

UP ke dar-ul-hukoomat Lucknow ki ek mandi mein in dinon ek bakra ”Sultan“ iski khususiyat aur is ki qeemat ki Wajah se kaafi charcha mein hai, kyunkay is ke maalik ne iski qeemat 30 laakh 786 rupiye rakhi hai. is mehngi qeemat ki wajah iski khasusiyat batayi ja rahi hai.

Ittila ke mutabiq ”Sultan “ bakray ke ek kaan par Allah aur dusray kan par Mohammad likha hua hai. Qudrati tor par un muqaddas naamoun ke likhay hue honay ki wajah se is ki qeemat 30 laakh 786 rupiye rakhi hai.

Sultan Nami is bakray ko leker bakra mandi pohanche bakray ke maalik Asim ka kehna hai ke pehlay hi is bakray ki boli 24 laakh rupaye lag chuki hai, lekin woh usay 30 laakh 786 rupiye se kam qeemat par nahi bechinge.

Asim ke mutabiq bakray ke ek kaan par Allah aur dosray kan par Mohammad likha hua hai. aur usay kaju aur badam khilaye jatey hain aur usay AC mein rakha jata hai. Asim n3 bataya ke dhai saal ke Sultan ka wazan taqreeban 65 kilo hai. aur Sultan kabhi kisi ka jhoota nahi khata. aur woh ghar mein kumba ke rukan ki tarhan rehta hai. –YTN STAFF