Sunday, July 6, 2025
HomeHyderabadLRS applications ki processing ki tareekh mein tausee

LRS applications ki processing ki tareekh mein tausee

Hyderabad. Hyderabad Metropolitan Development Authority HMDA ney LRS darkhast guzaron ko badi raahat dete huye ibtedayi adayigyon ki adam adai ke baayis ruki huwi LRS darkhaston ki processing ke liye di gayi mohlat mein tausee ki hai. LRS darkhaston ki yaksoi ki aakhri tareekh ko 31st   October tak tausee di gayi hai. Qabl azeen HMDA ne LRS darkhaston ki yaksoi ke liye 31st  August tak mohlat di thi. Ibtedayi adayigyon mein taakhir ke baayis kayi darkhaston ki yaksoi nahi ho payi is liye Commissioner ney is ziman mein di gayi mohlat mein tausee karne ka faisla kiya hai. HMDA ke ohdedaron ko hidayat di gayi ke woh aisay darkhwast guzaron ko aagah karen jinhon  ney ibtedayi adaigi nahi ki hai aur unhen batayen ke 30th  September tak 10,000 rupay bataur e ibtedayi adai ki jaye aur 15th October tak LRS puri processing dey diye jayen. Principal Secretary Baldi nazam o nasq wo shehri taraqhiyat Mr. Aravind Kumar ney bhi ohdedaron ko hidayat di thi ke zair e iltiwa darkhwaston ki yaksoi 30th  october tak kar dein. HMDA zariye ke bamawajib  1. 76 lakh se zayed darkhaston ki yaksoi kar di gayi hai aur 61,000 darkhasten mustard ki gayeen jabkay 54 darkhasten dastawizaat ki kami ke baayis zair e tasfia hain. 1,694 darkhaston par karwai jari hai. No Objection Certificate paish na kiye jane par 2,237 darkhasten radd kar di gayeen.