Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaLovely Professional University ka Mongolia ke sath moahida, taleem ke farogh mein...

Lovely Professional University ka Mongolia ke sath moahida, taleem ke farogh mein mushtarqa kaam karne ka ehad

Hyderabad : Lovely Professional University ( LPU ), Hindustan ki Maroof wo khangi university hai jis nay Mongolia ( GoU ) ke dar-ul-hakoomat ke daftar ke governor sath yaddasht mafahmat ( MoU ) par dastakhat kiye hain.

MoU par Lovely professional university ke chancellor ashok mittal aur dar-ul-hakoomat ke deputy governor nay dastakhat kiye aur yeh moahida deputy governor ke Hindustan doray ke douran hua hai. is mauqa par Khaltmaagiin Battulga, mongolia ke sadar, Hindustan ke wazeer petroleum aur qudrati gas Dharmindar Pradhan ki moujood they.

MoU ke tehat LPU shehar ke asateza aur school ke talba ko IT ki tarbiyat faraham karega. LPU mongolia mein GoU ke tehat anay walay secondary aur senior secondary schoolon ke talba ke liye IT nisaab tayyar karega, jis mein angrezi aur mongol zabaan dono mein IT ki nasabi kutub taiyar karna shaamil hai. LPU Mongolia se aaney walay talba ko engineering, management, computer application, pharmacy aur deegar shobo mein mayaari Aala taleem ki farahmi Punjab ke shehar mein waqay apne campus mein dakhlay zariye karega. GoU, hukoomat Mongolia ke tavassut se LPU mein dakhla lainay walay talba ko university ke zareya scholarship bhi diya jayega.

Mongolia mein IT ke poorey training maholiyati Nizam ko taqwiyat dainay ke liye, LPU Punjab ke shehar mein apne campus mein GoU ke tehat waqay schooloun ke asateza aur amlah ko information technology ke shobay mein tadrisi aur tehqeeqi tarbiati programme bhi muhayya karega. is mauqa par ashok mittal chancellor Lovely professional university nay kaha ke tecnology kisi bhi taraqqi Yafta aalmi maeeshat ki reedh ki haddi hai. hum GoU, Mongolia ki hukoomat ke sath shiraakat karne par khush hain ke woh mulk mein IT taleem ke miyaar ko badhaane ke liye kaam karen. is shiraakat ke teen hissoun mein taleemi taawun, mutalay ke grant aur mushawarat shaamil hain.

Dar-ul-hakoomat ke naib governor, nay is mauqa par kaha ke Lovely Professional University Hindustan ki sab se badi university hai aur khaas tor par engineering aur information technology ke shobo mein Aala miyaar ki taleem ke liye usay jana jata hai. mustaqbil ki taraf dekhte hue, yeh hamaray liye laazmi hai ke mongolia mein secondary school ki satah par IT ki taleem ke miyaar ko behtar banaye aur hamein yaqeen hai ke LPU mein hamein sahih shiraakat daar milgaye hain. is MoU ke ek hissay ke tor par, university Mongolia mein GoU ke tehat schoolon ko khudkaar bananay aur campus ko paper lais ( kaghzat ka Adam istemaal ) bananay ki bhi koshish karegi.

Yaad rahay ke 2005 mein qaim Lovely professional university ( LPU ) ek khangi university hai jo jalandhar, Punjab mein waqay hai. university campus jalandhar ke nawaha ilaqay mein 600 acre par phela hua hai. LPU mukhtalif qisam ke courses paish karti hai jaisay engineering, computer application, hotel management, tourism , architecture and design, pharmaceutical sciences, zaraat, fashion design, sahaafat, filmon aur takhleeqi arts, qanoon, physiotherapy aur paramedical sciences ke sath art aur zubanain shaamil hai. fil haal University mein 25 hazaar se ziyada talba kul waqti aur part time courses bhi taleem haasil kar rahay hain jin mein 50 se zayed mumalik ke talba mojood hain. –YTN STAFF