Tuesday, April 30, 2024
HomeIndiaLove jihad par Uttar pardesh aur uttarkhand hukoomat se Supreme Court ne...

Love jihad par Uttar pardesh aur uttarkhand hukoomat se Supreme Court ne jawab talab karliya

New Delhi: Supreme Court ne shadi ke liye mazhab ki tabdeeli (Love jihad ) ke khilaaf Uttar pardesh aur Uttarkhand ke qawaneen ki qanooni hesiyat ko challenge karne wali arziyoun par dono riyasat ki hukoomaton se jawab talabb kiya. Chief justice sharad Aravind bobde, justice v subraminam aur justice AS bopna ki bench ne vishal thakre aur deegar aur samaji karkunaan tista satluwad ke ghair sarkari tanzeem ‘ jari kiye.

Halaanke adalat ne mutaliqa qanoon ke un ilzamaat par rok laganay se inkaar kardiya, jiske tehat shadi ke liye tabdeeli mazhab ki pehlay se ijazat ko laazmi banaya gaya hai. Satluwad ki janib se wakeel Chandar uday singh ne Daleel di ke pehlay se ijazat ka iltazam jabirana hai. Unhon ne kaha ke Uttar pardesh ke qanoon ki bunyaad par police ne mubayyana lo jihad ke muamlay mein be qasoor logon ko giraftar kiya hai.

Samaat ki shuruvaat mein justice wasee masla paeda ho raha hai. Wakeelon ne Daleel di ke Madhya pradesh aur Haryana jaisi deegar reastain bhi aisay hi qanoon bananay par ghour kar rahi hain. is ke baad adalat ne muamlay ki samaat ke silsilay mein haami bhartay hue dono reyasti hukoomaton ko notice jari kiye.

Yaad rahay ke Uttar pardesh mein Love jihad abhi sirf ek ordinence hai jabkay uttarkhand mein yeh 2018 mein qanoon ban chuka hai. Uttar pardesh aur uttarkhand mein love jihad qanoon ke tehat agar koi shakhs kisi ko lalach day kar, bhatka kar ya dara dhamka kar mazhab tabdeel karne par majboor karta hai to usay 5 saal tak ki saza hosakti hai lekin kuch samaji karkunaan aur tanzeemon ne usay Supreme Court mein challenge kar diya hai.