Tuesday, April 30, 2024
HomeIndiaLove Jihad par khaas tawajah dainay ki zaroorat: Rekha Sharma

Love Jihad par khaas tawajah dainay ki zaroorat: Rekha Sharma

Mumbai: Qaumi Commission baray khawateen ( NCW ) ki Chair Person Rekha Sharma ne yahan Maharashtra ke Governor Bhagat Singh Koshyari se mulaqaat ki aur riyasat mein khawateen se mutaliq umoor par tabadlah khayaal kiya jis mein Love Jihad ke badhatay hue mamlaat ko bhi sir fehrist masail mein shaamil kiya gaya hai.

NCW ki janib se ek bayan mein kaha gaya hai ke Sharma ne daawa kiya ke Maharashtra mein Love Jihad ke mamlaat mein izafah huwa hai. Is ne kaha ke Rekha Sharma ne khawateen ke liye reyasti commission ke liye kul waqti sarbarah muqarrar karne ki zaroorat ke baray mein bhi baat ki.

Release mein kaha gaya hai ke Rekha Sharma ne governor ko bataya ke riyasat mein Love Jihad ke mamlaat mein izafah huwa hai aur ittafaq raye se bain mazhabi shadion aur Love Jihad ke mabain farq ko ujagar kiya gaya, Jis mein kaha gaya hai ke Love Jihad par tawajah dainay ki zaroorat hai. Istilaah Love Jihad ka istemaal kuch dayen baazu ke mubasireen ne yeh ilzaam ayed karne ke liye kiya hai ke Hindu khawateen ko lalach dainay aur bain ul mazhab shadi ke zareya unhein mazhab tabdeel karne ki saazish ki jarahi hai.

NCW ke sarbarah ne yeh bhi bataya ke taqreeban 4 hazaar  shikayat par koi karwai nahi ki gayi kyunkay  yaha reyasti khawateen commission ke paas chair person nahi hai. Rekha Sharma ne governor ko bataya ke riyasat mein 14 one stop centers hain jo jinsi aur gharelo zayad-ti ka shikaar afraad ko aik hi maqam par madad fraham karne ke liye qaim kiye gaye thay jo ab  nagara hogaye.

Yeh marakaz 2012 mein Dehli mein hue ijtimai esmat raizi ke waqea ke baad qaim kiye gaye thay aur umeed ki gayi thi ke ye marakaz mutasireen ko tibbi, Qanooni, Masharti aur nafsiati madad faraham karen ge. Release ke mutabiq NCW ke sarbarah ne Andhra Pradesh mein Disha Act ke mawafiq ek qanoon bananay ki zaroorat par bhi zor diya jis mein khawateen ke khilaaf juraim ki jald se jald samaat aur sakht saza dainay ke iqdamaat kiye jasakay.

Rekha Sharma ne kaha bachon ke tahaffuz baray jinsi juraim ( POCSO ) Act ke tehat darj 188 muqadmaat hain jo ke qanooni 3 mah ki muddat se ziyada ka waqt guzarjane ke bawajood jon ke to hain is par tawajah di jani chahiye. NCW ke sarbarah ne khawateen mareezon ke sath zayad-ti ki jane ya un ke sath badtameezi ki jane wali misalon ke wazeh tor par hawala dete hue kaha ke CCTV camera corona ke nighdasht ke marakaz ke andar rakhay jayen aur un ke pas manzar ki sakht jaanch padtaal ki jaye.