Sunday, May 19, 2024
HomeSliderLords Mein World Cricket Ke Naye Champion Ka Faisla Hoga

Lords Mein World Cricket Ke Naye Champion Ka Faisla Hoga

London : World cricket ko 23 baras baad kal naya Champion mileyga jaisa ke ICC world 2019 ka  final kal yahan tareekhi maidan lords par tournament ki do behtareen teams maizban England aur New Zealand ke darmiyan khela jayega. England ki team pehli martaba aalmi Champion ban’nay ke liye kal ke muqablay mein pasandeeda muaqqaf mein hai.

Jabkay doosri janib Kane Williamson ki zair-e-qiyadat New Zealand ki team 2015 ke final ki shikast ko pas pusht daaltay hue ek qadam agay bhedne ki khwahan hai aur pehli martaba khitaab haasil karne ke liye pur azm hai. jaisa ke is ne Simi final mein khitaab ki mazboot dawaydaar Hindustan ko sansani khaiz muqablay mein 18 runs se shikast di hai. dosray semi final mein England ne Australia ko bah aasani aur ek tarfa muqablay mein shikast di.

England 1992 ke baad pehli martaba final mein rasai haasil ki hai. 2015 ke world cup mein naaqis muzahiron ke baad pehlay hi round mein bahar honay wali english team ne guzashta world cup ke baad intehai jarehana cricket khailtay hue khud ko nah sirf number ek team banaya hai balkay world cup ke final mein bhi pahonch chuki hai.

1979, 1987 aur 1992 ke final mein rasai haasil karne ke bawajood english team khitaab haasil nahi kar payi hai lekin ab woh khitaab ke liye pur azm hai. England ke liye Jonny Baristow aur Jason roy ki opening jodi team ko behtareen shuruvaat faraham karne ke alawa tournament mein mutadid martaba century partnership bhi faraham ki hai.

Roy ne ta haal 426 aur Jonny Baristow ne 496 runs score kiye hain jabkay joe root 549 runs score kiye hain. middle order Joss Buttler aur Ben stokes  is ki taaqat hain jabkay captain Eoin Morgan kisi bhi lamha muqablay ko apni team ke haq mein kar sakte hain. fast bowling shoba mein Jofra archer 19 wickten le kar sab se agay hain. Spin shoba Adil Rasheed 11 wicketon ke sath apni ahmiyat bata chuke hain.

Doosri janib se New Zealand ke captain  Williamson runs aur ross taylor 335 runs ke sath team ke liye ahem batsman hain, taham martin guptill jo guzashta world cup mein double century score kar chukay hain, woh rawan tournament mein nakaam hain. New Zealand jis ne Semi final mein Hindustan ki taaqatwar batting line up ko apni shandaar bowling se tabah kiya, woh phir ek martaba Trent Boult loki ferguson aur Matt henry se isi tarhan ke muzahiray ki umeed kar rahi hai.

Khtiabi muqablay mein England ki jarehana batting aur New Zealand ki jarehana bowling ke darmiyan asal takrao mutawaqo hai. Bairstow aur Jason Roy team ko jahan behtareen shuruvaat faraham karne ke liye koshan honge, wahein Boult aur henry New Zealand team ko jald wickten dilwate hue behtar shuruvaat ke khwahan honge. –YTN STAFF