Friday, May 3, 2024
HomeSliderLondon Masjid hamla, Muezzin ne qusoorwar ko maaf kardiya

London Masjid hamla, Muezzin ne qusoorwar ko maaf kardiya

London: Bartania ke dar-ul-hukoomat London mein chaako zani ke waqeye mein zakhmi honay walay Masjid ke Mouzan Raafat Maglad ne elaan kiya hai ke unhoun ne hamla aawar ko maaf kar diya hai. Inhen jumaraat ko London ke shumali ilaqay Regent  Park mein waqay markazi Jamia Masjid mein 1 shakhs ne chaako se hamla kar ke zakhmi kar diya tha. Bartania nashriyati idaray ko diye gaye Interview mein Maglad ne kaha ke wo hamla aawar ke hawalay se nafrat mehsoos nahi karte balkay inhen sirf afsos ho raha hai. Maglad ke mutabiq un ke kandhay par chaako se waar kiya gaya. Mujhe gardan ke nazdeek khoon behta huva mehsoos huva, Is ke baad mujhe dawakhana muntaqil kar diya gaya. Ye sab kuch achanak huva.

Ek aini shahid ke mutabiq hamlay ke waqt Masjid mein 100 ke qareeb musali mojood they aur un mein 20 afraad ne hamla aawar ko daboch liya. Is ne kaha ke mein ne ek cheekh ki aawaz suni aur is ke baad khoun nazar aaya. Doosri janib London ki Police ne waqeye ke aglay roz jummey ko elaan kiya ke 29 sala hamla aawar Daniel Horton ko 2 ilzamaat ka saamna hai. Pehla ilzaam khatarnaak jismani aziat pohanchanay se aur dosra ilzaam teez dhaar aala rakhnay se mutaliq hai. Mulzim ko haftay ke roz Westminster ki adalat mein pesh kiya jana tha. Police ke mutabiq tahaqeeq karoun ke nazdeek is waqeye ka dehshat gardi se talluq nahi hai. –YTN STAFF