Monday, May 20, 2024
HomeIndiaLok Sabha Mein Insani Huqooq Ke Tahafuz Ka Bill Hua Manzoor

Lok Sabha Mein Insani Huqooq Ke Tahafuz Ka Bill Hua Manzoor

New Dehli : kisanoun, kamzor aur maali tor par pasmandah afraad samait ”Sahih logoun“ ke Huqooq ke tahaffuz ke liye ek bill, jummay ko lok sabha mein aawaz vote ke sath Manzoor hua. insani Huqooq tarmeem bil, 2019 insani Huqooq ki act, 1993 mein tarmeem faraham karta hai.

Markazi wazeer e dakhla Nityanand Rai  ney bill se mutaliq kaha ke yeh bill insani Huqooq ki tarmeem ke liye Manzoor kiya gaya hai. unhoun ney kaha ke bill mein pasmandah tabqaat ke liye national commission ke Chairperon, bachoun ke tahaffuz ke liye national commission aur mazoor afraad ke liye chief commissionaire ko NHRC arkaan ke tor par shaamil kiya gaya hai.

Markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah ney 8 July ko mazkoorah bill muta-arif karwaya tha. bill par behas mein hissa lainay walay BJP ke rukan satiya paal singh ney kaha ke hukoomat insani Huqooq ki hifazat ke liye par azm hai. –YTN STAFF