Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaLok Sabha mein congress ka hungama, shiv sena ka walk out

Lok Sabha mein congress ka hungama, shiv sena ka walk out

New Delhi: Lok Sabha mein surmaee ijlaas ke pehlay din congress aur deegar kayi opposition partiyoun ke sath hi barsar-iqtedar NDA se haal hi mein alag hui shiv sena ke arakeen ne bhi aaj jam kar hungama kiya lekin speaker Om Birla ne shore sharabe ke darmian hi waqfa sawal jari rakha.

Aewan ki karwai shuru hotay hi Trinamool congress ke sogat raye, congress ke Udhir ranjan choudhry, DMK ke TS ballav ne national conference ke rukan Farooq abdullah ke aewaan mein na honay ka maamla uthaya aur shor wo ghul shuru kardiya. un sabhi partiyon ne hukoomat par oppostion ko kuchalnay, oppostion arakeen par jhutay muqadmay darj karne aur oppostion leadron par hamla karne ka ilzaam lagaya.

Isi douran shiv sena ke arakeen ne kisanoun ki ab-tar haalat ka maamla uthaya aur kaha ke kisanoun ko insaaf nahi mil raha hai. party ke leader vinayak rao aur arvind sawant ne bhi apni jagah par khadey hokar naaray baazi ki aur kisanoun ko insaaf denay ka mutalba karte rahay. kaafi der tak hungama karne ke baad jab speaker ne unki baat nahi suni to unhon ne ewaan se walk out kardiya.

Congress ke rukan ewaan ke beech-o-beech jamhoriat bachao, oppostion ko kuchalna band karo, jhutay muamlay wapas lo jaisay naaray lagatay hue hungama karte rahay. speaker ne arakeen se kaha ke ewaan naaray baazi ke liye nahi balkay baat cheet aur behas wo mubahisay ke liye hai, is liye arakeen apni nishiston par baith jayen.

Parlimani umoor ke wazeer prahlad joshi ne kaha ke oppostion partiyon ko hungama karne ke bajaye ewaan mein maslay uthane chahiye aur hukoomat unke zareya utthaye masloun par behas ke liye tayyar hain. unhon ne kaha ke khud wazeer-e-azam Narendra Modi ne oppostion partiyon ko yaqeen dilaya hai ke unki baat ko sun jaega aur woh jo bhi masla utthayenge un par behas hogi.

Hungama karne walay arakeen ne unki ek nahi suni aur waqfa sawal poora honay tak naaray baazi karte rahay. –YTN STAFF