Monday, May 20, 2024
HomeIndiaLok Sabha Ijlaas : opposition jamaatoun ne Farooq Abdullah ki rihayi ke...

Lok Sabha Ijlaas : opposition jamaatoun ne Farooq Abdullah ki rihayi ke liye ehtijaj kiya

New Delhi : Lok Sabha mein peer ke surmaee ijlaas ka aaghaz hua, yeh ijlaas 13 decemeber ko ekhtataam Pazer hoga. Lok Sabha ke surmaee ijlaas ke pehlay din congress aur kuch deegar opposition jamaatoun ne, jammu wo Kashmir ke national conference ke zair-e-hirasat rehnuma Farooq Abdullah aur deegar rehnumao ki rihayi ka mutalba karte hue ehtijaj kiya , neez Kashmir mein adam istehkam par bhi ehtijaj kiya gaya.

Congress arkaan ne wazeer-e-aazam se jawab talab karte hue naaray baazi ki. baad mein arkaan speaker ke stage par aaye aur ”mulk ko taqseem karna chode” jaise do naaray lagaye. National Conference, Nationalist congress party, Revoluitonary socialist party Dravida Munnetra Kazhgam ke rehnumao ke sath congress bhi ehtijaj mein shaamil hui.

Ehtijaj karne walay arkaan-e-parliment ne is waqt naaray baazi shuru kardi, jab lok sabha speaker Om Birla ne TDP ke rukan-e-parliment Kesineni Srinivas ko pehla sawal karne ke liye madoo kiya. Opposition arkaan-e-parliment ne naye banaye hue markazi ilaaqoun mein hirasat mein liye gaye mukhtalif rehnumao ke alawa, Farooq Abdullah ki rihayi ka mutalba karte hue naaray lagaye.

Unhon ne Jammu wo Kashmir ki sorat-e-haal par ehtijaj karte hue naaray baazi ki. markazi wazeer Ramesh Pokhriyal ne rukan-e-parliment Kesineni Srinivas ko jawab diya. Trinamool congress ne Abdullah ki nazar bandi par lok sabha mein tehreek iltiwa ka notice diya tha.

Parlimani umoor ke wazeer prahlad joshi ne opposition arkaan-e-parliment se appeal ki ke woh sawalia waqt ko aasani se chalne den , aur woh yaqeen dilatey hain ke hukoomat, sifar waqt mein tamam umoor par baat cheet ke liye, aur kisi bhi muamlay par jawab dene ke liye tayyar hai.

Speaker Om Birla ne bhi opposition ko yaqeen dilaya ke wo qaiday ke mutabiq inhen bolnay ka mauqa dene ke liye tayyar hain, lekin arkaan-e-parliment karwai mein khalal na dalain. ehtijaj karne walay arkaan-e-parliment mein BJP ki Sabiqa ittihadi jamaat Shiv sena bhi shaamil thi, lekin woh kisanoun ke mamlaat par ehtijaj kar rahay they. –YTN STAFF