Saturday, April 20, 2024
HomeSliderlockdown, selaab aur ab petrol ki qeemat, sarkon se 80 hazaar taxi...

lockdown, selaab aur ab petrol ki qeemat, sarkon se 80 hazaar taxi gayab

Hyderabad: shehar hyderabad ki sarkon par taxiyo ki tadaad guzashta saal 1. 2 lakh thi lekin ab yeh mehez 40, 000 hogayi hai. is ki wajohaat bohat saari hain jin mein lockdown ko khatam karne ke baad bhi awam ki janib se taxiyo mein safar se parhaiz karna, gariyon ke liye mahana aqsat ki adaigi nah karna, shadeed barish ke baais 5, 000 se ziyada taxi pani se band aur kharab hojana, ola aur uber jaisi naamwer company car drivero ko commission ki adaigi nah bhi shaamil hain .

ALSO READ:CCTV camera ne asmat raizi ke jhutay ilzamaat laganay wali larkiyon ki pol khol di

In halaat mein bohat se drivero ne gadi chalana tak karte hue dosray payshay ikhtiyar kar chukay hain kyuke woh barish se mutasirah gariyon ke liye third party insurance raqam wusool nahi kar saktay hain.

Telangana taxi driver JAC ne ola par 3000 se ziyada lies taxi’s par qabzay par tashweesh ka izhaar kya hai. is khsos mein unhon ne kaha ke shehar ki sarkon par kam se kam 1. 2 lakh taxi chalti thi, jis mein Shamshabad ke airport par roz ana 10, 000 afraad safar karte the.

hawai musafiron ki tadaad kam honay ke sath hi taxi’s ki maang mein kami aayi hai. mazeed yeh IT ke ziyada tar mulazmeen ghar se kaam kar rahay hain aur un ke dafatir par jane ka nizam khatam hogaya hai. Ek waqt wo Tha tha jab bohat se IT mulazmeen awaami hamalo naqal munhasir thay aur gariyaan khareed kar ola aur uber ke sath moahide kar chuke the lekin ab woh khud berozgar ho chukay hain .

ALSO READ:Jurm ki century ke qareeb pahonch chuka mamur chor

lockdown ko khatam karne ke baad 60, 000 se ziyada taxi’s ne shehar ki sarkon par chalna shuru kiya lekin is ke baad selaab ne taxi ke shobay ko ek dhaka pohanchaya hai. 5, 000 se ziyada cab taxi doob gayeen aur barish ne inhen dobarah istemaal ke qabil nahi rakha. aur deegar wajohaat ne shehar ki sarkon par taxi’s ki tadaad kam hokar mehaz 40, 000 kardiya hai. darin itna , taxi driver hukoomat se apna kiraya 17 rupiye kilometer fee kilometer tak badhaane ka mutalaba kar rahay hai.

filhal, taxi fi kilometer ka kiraya 10 se 12 rupay ke darmiyan hai. haliya dinon mein, petrol aur diesel ki qeematon mein zabardast izafah hua hai. Ola aur uber jaisay cab companies ne driveron ko qabil adaigi walay commission mein katoti aed kar di hai. lehaza, taxi driver’s ke liye zindagi mazeed mushkil hogayi hai.