Thursday, May 2, 2024
HomeSliderLockdown se mukhtalif mumalik ki fazai aloodgi mein ghair maa'mooli kami

Lockdown se mukhtalif mumalik ki fazai aloodgi mein ghair maa’mooli kami

London: Coronavirus se honay walay nuqsanaat aur is wabai marz se honi wali amwaat ko roknay ke liye duniya bhar mein kayi mumalik ney haftoun taweel Lockdown kardiya hai jis ka pehla faida to yaha huva hai ke duniya ke kayi mumalik mein fazai aloodgi ke Graff kaafi neechay agaya hai. Mahireen ke bamujab Coronavirus ke phelao ki wajah se Lockdown karne walay mumalik mein huva ka meyaar behtar huva hai taham un ke mutabiq is waqt fiza ke miyaar mein taweel muddat ke liye behtari ke baray mein kuch kehna qabal az waqt hoga.

Khabar rasan idaray ke mutabiq Americi khalayi Agency NASA ki janib se jari tasaveer mein wazeh tor par dekha ja sakta hai ke Feb ke mahinay mein China ke shehar Wuhan ke fiza mein Nitrogen Dioxide ke miqdaar mein wazeh kami huvi. Nitrogen Dioxide Gas ka huva mein ikhraj ziyada tar gadiyoun, Sanati Unites aur Thermal bijli gharoun se hota hai. Ab jab ke China mein Coronavirus ke bohraan mein kami huvi hai to European Space Agency ki tasaweer mein China mein Nitrogen Gas ke ikhraj mein phir se izafah dekha gaya hai.

ESA ne shumali Italy mein Nitrogen Dioxide Gas ke ikhraj mein qabil zikar kami Record ki hai. Khayaal rahay Italy un dinoun Coronavirus ki wajah se Lockdown hai. European Environment Agency ne isi terhan ki tabdeeli Barcelona aur Madrid mein Record ki hai jahan hukkaam ney March ke wast mein Corona ki wajah se logoun ko gharoun ke andar rehne ke ehkamaat diye they. Europe ke Earth Surveillance Programme se wabasta Vincent-Henri Peuch ney kaha hai ke Nitrogen Dioxide mukhtasir muddat ke liye aloodgi peda karne wala Gas hai jo ke ek din tak mahol mein rehta hai.

Un ke mutabiq Nitrogen Dioxide Gas kharij karne walay zariye ke qareeb hi mojood rehta hai. NASA ke Goddard Space Flight Center se wabasta Air Quality Researcher Peuchne China mein fiza ke miyaar mein behtari ke baaray mein kaha hai ke unhoun ne pehli muratab Nitrogen Dioxide ke ikhraj mein aisi dramayi kami dekhi hai.

EAA mein Air Quality ke maahir Alberto Gonzales ne kaha hai ke ek dahe qabal muashi bohraan ke douran bhi Nitrogen Dioxide ke ikhraj mein kami rafta rafta thi. Peuchke mutabiq shumali Italy mein Nitrogen Dioxide ikhraj mein ausatan nisf kami huvi hai.

Dosray mumalik Argentina, California, Belgium, Tunisia, France jahan hukkaam ne Lockdown ke tehat logoun ko gharoun ke andar mehdood honay ki hidaayat di hai, Un mumalik mein fiza ke miyaar ke liye mahireen Data ka muaina kar rahay hain. Taham mahireen ka kehna hai ke sirf Nitrogen Dioxide ki kami se huva saaf nahi hoti. NASA ki Earth Observantly ke mutabiq Beijing mein Feb ke mahinay mein hava mein bareek zaraat ki wajah se bhi aloodgi mein izafah huva tha. Rawan haftay hawa mein bareek zaraat ki wajah se Paris ki hawa ko bhi aaloda qarar diya gaya go ke loog gharoun tak mehdood hain.

Taham Peuch ne kaha hai ke aloodgi phelanay wali cheeze mausam ke sath mukhtalif ho sakti hain. Nitrogen Dioxide ke ikhraj ke kuch zaraye maslan bijli ki Factories ya gharoun ke andar tawanai ka istemaal Lockdown ke douran bhi kam nahi hota. Peuch ke mutabiq hawa mein 2.5 PM aur 10 PM ke zaraat aur Carbon Dioxide ke miqdaar mein bhi waqt guzarnay ke sath kami ka imkaan hai. -YTN STAFF