Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsLockdown se duniya bhar mein gharelo tashadud mein be tahasha izafah

Lockdown se duniya bhar mein gharelo tashadud mein be tahasha izafah

New York: Aqwam mutahidda ne kaha hai ke rawan baras Lockdown ke baais duniya bhar mein gharelo tashadud ke 15 Million yani daidh crore mazeed muqadmaat ke samnay anay ka imkaan hai. Bartanwi akhbar ke mutabiq aqwam mutahidda ke zeli idaray Population Fund ne ye hisaab bhi lagaya hai ke rawan baras kayi lakh khawateen ki Family Planning ke jadeed tareeqoun tak rasai nahi ho sakay gi aur kayi ladkiyoun ko 2030 tak bayah diya jayega.

Population Fund ki Executive Director Natalia Kanem ne un adaad o shumaar ko mukammal tabahi qarar diya hai. Ye adaad o shumaar UN Population Fund aur is ke Partners Avenir Health, Americi University Johns Hopkins aur Australian University Victoria  ne shaya kiye hain jin ke mutabiq 3 mahinay ke Lockdown mein aqwam mutahidda ke 193 rukan mumalik mein gharelon tashadud mein 20 feesad izafah huwa.
Mahireen tawaqqa kar rahay hain Lockdown mein towsee ki soorat mein har 3 mah mein gharelo tashadud ke 15 Million muqadmaat samnay aa satke hain. Tashadud ko roknay ke liye jari Programs mein Coronavirus ki wajah se ta-attul peda honay se aisay waqeat ki rokk thaam par bhi asar padega. Mohaqiqeen ne ye andaza bhi lagaya hai ke agar Lockdown ya Coronavirus ke hawalay se lagai gayi pabandiya mazeed 3 mahinay jari rahen to duniya ke kam aur darmiyani aamdani walay 144 mumalik ki 44 Million yani 4 crore 40 lakh khawateen ki rasai Family Planning ke zaraye tak rasai nahi rahegi. Is ka nateeja 10 lakh ghair iraadi hamal ki soorat mein niklega.

Idaray ke mutabiq khadsha hai ke aalmi waba ke baais bachoun ki kam omri mein ki jane wali shadi ki rokk thaam par bhi asar pade ga aur agli ek dahai mein mazeed 13 Million yani ek Crore 30 lakh bachay kam omri hi mein bayah diye jayenge. –YTN STAFF