Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadLockdown se Coronavirus ko qaboo karne hukkaam par azm

Lockdown se Coronavirus ko qaboo karne hukkaam par azm

Hyderabad: Mulk bhar mein 21 dinoun tak Lockdown aur mukammal Curfew jaisay halaat ke zariye hukkaam ku umeed hai ke ye iqdamaat coronavirus ke phelnay par qaboo panay mein madad faraham kar saktay hain aur sath hi inhen baday pemanay par nigrani shuru karne, Mutasirah afraad ke mumkina rabtoun, Virus se mutasirah afraad ki nishandahi karne aur yahan tak ke Virus se mutasirah mumalik se Hindustan wapas anay walay afraad ki mumkina tor par baday pemanay par jaanch karne ka bhi kaafi waqt aur mauqa faraham kar saktay hain. Telangana mein Coronavirus ke khilaaf ladnay walay Senior sahet hukkaam ne umeed zahir ki hai Lockdown wabai amraaz par qaboo panay mein ek bunyadi hatyar sabet hoga.

Sakht iqdamaat, Jinhen aksar wabai amraaz ke mahireen naka bandi ki hikmat e amli ke naam se bhi jantay hain is ke tehat muashray mein sar garmioun ko mehdood ya mukammal band karne ke iqdamaat kiye jatay hain aur isi douran lakhoun afraad ki zindagi bachayi ja sakti hain. Sahet ke ohdedar riyasat bhar mein bukhaar ki baday pemanay par nigrani ki muhim chala rahay hain. Pneumonia ke shadeed mamlaat ki nishandahi karne aur un ke namoonay akhetta karne ke liye khangi dawakhanoun ko hidaayat dainay ke alawa, Hukkaam Virus mamlaat ki shanakht, Raabtey ka suraagh laganay aur sahet ki dekh bhaal ki sahuliyaat yani sarkari dawakhanoun mein boojh kam karne ke liye ek mansoobah tayyar karen ge.

Sahet aama ke ohdedaroun ne kaha hai ke Lockdown muddat ke douran, Jab awam ke naqal o harkat ke imkanaat kam honge to, Wo mareezoun par bhi tavajja den sakay gen aur phir un bimaroun ke ilaaj par bhi tavajja denge, Khaas tor par Ranga Reddy sameit alla khatrah walay azlaa mein ilaaj ke amal ko taiz tar kiya jasakay ga. Is waqt Hyderabad, Bhadradri  Kothagudem aur Karimnagar par hukkaam ki ziyada tavajja markooz hai.

Sahet aama ke bohat se mahireen ko khadsha hai ke mukammal Lockdown sirf waba ko moakhar kardey ga aur ek baar jab masharti doori ke sakht iqdamaat mein narmi aa gayi hai to mamlaat dobarah Report honay lagen ge taham un sakht iqdamaat ke fawaid bhi hain. Umeed ki jarahi hai ke Lockdown se 2 ahem maqasid haasil hongi. Sahet se mutaliq ohdedaroun ne kaha ke is ki wajah se mareezoun ke taiz raftaar izafay ke mamlaat mein kami aeye gi aur bukhaar ke badhatay mamlaat ki nigrani karne ke alawa mareezoun ke ilaaj mein mazeed waqt mileyga.

Is waqt, Sahet ke ohdedaroun ke paas Coronavirus se mutasirah mumalik se wapas anay walay afraad ki tadaad ka munasib andaza hai. Taham inhen andaza nahi hai ke un mein se kitney afraad ka Test misbet hai. Duniya bhar ke sahet ke ohday daaroun ka moaqqaf hai ke mumalik Lockdown ke waqt mushtaba mamlaat ki nishandahi karne aur un ko Corona jhanchne ke liye istemaal kar saktay hain. –YTN STAFF