Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderLockdown ne Gaza ki zindagi ko mazeed ajeeran banadiya

Lockdown ne Gaza ki zindagi ko mazeed ajeeran banadiya

Gaza City: Lockdown ne jahan saari duniya mein zindagi ke liye halaat mushkil se mushkil tareen kardiye hain wahein jung zada ilaaqon mein rehne walon ke liye zindagi mazeed mushkil tareen hochuki hai aur aisay hi mushkil tareen halaat Gaza ke awam ki hochuki hai. Gaza Patti mein rahaish pazeer do bachon ke waalid Ahmed Esa pehlay hi bijli ki musalsal katotiyon se nimatnay ke liye rozana saat Dollar ke husool ke liye jadu jehad kar rahay they aur khadsha tha ke kahin doosri jung shuru hosakti hai.

Jahan halaat pehlay hi zindagi ke liye dushwar kun they wahan coronavirus ney ghareeb Palesteeni ilaqon mein aisa qehar dhaya ke awam ko mout aur zindagi ke darmia chand saanson ka faasla nazar anay laga. Israel Gaza ke askriat pasand Hamas ke hukmraanon ke khilaaf apni naka bandi sakht kar raha aur jis par lockdown ney ghareeb Palesteeni awam ko apne gharon taq mehdood kardiya hai.

Un halaat mein Esa ny kaha ke inhen nahi maloom ke wo apne khandan ko kis terhan khilaye ga. Unhoun ny kaha mere paas bachat nahi hai aur mere paas nokari nahi hai, Lehaza koi bhi mujhe karzz nahi day ga. Mein kisi se bheek nahi mangu ga.

Palestine ke ilaqon ke 20 lakh afraad ki abadi mein wasee pemanay par Gaza waba phail gayi jahan sahet ki dekh bhaal ka nizaam barson ki jung aur tanhai ke baais zindagi tabah huwa hai. Is hafta ke shuru mein muqami tor par phelnay walay pehlay waqea ke inkishaaf se lockdown nafiz kiya gaya hai.