Monday, May 6, 2024
HomeIndiaLockdown mein towsee ka imkaan, Anqareeb hatmi faisla

Lockdown mein towsee ka imkaan, Anqareeb hatmi faisla

New Delhi: Coronavirus ki rokk thaam ke liye Hindustan bhar mein nafiz 21 din ke Lockdown ki meyaad 14 April ko khatam honay ja rahi hai aur awam is ka be sabri se intezaar kar rahay hain lekin Wazeer e Azam Modi ke sath kul jamati ijlaas se masool honay walay ishaaroun se ye wazeh ho raha hai ke mulk mein Lockdown ki muddat mein towsee ki ja sakti hai. Kul jamati ijlaas mein khud Wazeer e Azam Modi ne bhi isi terhan ka esharah zahir kiya.

Wazeer e Azam ki qayadat mein munaqidah kal jamati ijlaas mein mojood LJP ke arkaan Parliament Chirag Paswan ne ijlaas ke baad kaha ke Video Conference ke zariye munaqqid honay walay is ijlaas mein unhoun ne kaha ke un ke paas jo bhi maloomat aur tajaweez aa rahi hain un se mehsoos hota hai ke qaumi mafaad mein abhi Lockdown ko jari rakhna chahiye. Chirag Paswan ne mazeed kaha ke ijlaas ke douran Wazeer e Azam ki batoun se ye mehsoos huva ke shayad hukoomat is Lockdown ko jari rakhnay ka faisla le sakti hai. Unhoun ne kaha ke Social Distancing ke zariye hum kisi had tak is bemari ko itnay baday mulk mein bhi mehdood rakhnay mein kamyaab rahay hain.

Opposition ke rehnumao aur reyasti ohdedaroun ke sath Video Conferencing ke zariye munaqidah is ijlaas mein shaamil honay walay Odisha ke rukan Parliament aur Biju Janata Dal ke rehnuma Pinaki Misra ne bhi aisa hi daawa kiya. Unhoun ne kaha ke ijlaas ke douran, Wazeer e Azam Modi ne wazeh tor par kaha hai ke 14 April ko Lockdown ek baar mein nahi khoola jaye ga. Un ke mutabiq Wazeer e Azam ne ijlaas mein kaha ke mulk mein samaji Emergency jaisay halaat hain aur aisi sorat e haal mein kuch sakht faislay lainay zurori hain. Sath hi Wazeer e Azam ne ye bhi kaha ke logoun aur tamam reyastoun ke mahireen, Zilai intizamia aur mahireen ne Coronavirus ke phelao ko roknay ke liye Lockdown ki muddat mein towsee karne ka mashwara diya hai.

Biju Janata Dal ke rehnuma ney kaha ke Wazeer e Azam ney wazeh kiya hai ke is waqt Lockdown khatam nahi ho raha hai aur Corona bohraan se pehlay aur baad ki sorat e haal ek jaisi nahi hogi. Ijlaas mein mojood ek aur rehnuma ney kaha Wazeer e Azam ney inhen saaf saaf kaha ke wo pehlay tamam reyastoun ke wazraye aala se mashwara karen ge ke aaya mojooda sorat e haal mein Lockdown ko khatam kiya jana chahiye!

Corona bohraan par Video Conferencing ke zariye munaqidah kal jamati ijlaas mein Rajya Sabha mein qayed Opposition Ghulam Nabi Azad aur NCP ke sarbarah Sharad Pawar ke ilawa Samajwadi Party ke Ram Gopal Yadav, BSP ke Satish Mishra, LJP ke Chirag Paswan, Biju Janata Dal ke Pinaki Misra, Shive Sena ke Sanjay Rawat, DMK T. R. Baalu, Akali Dal se Sukhbir Singh  Badal aur JDU se Rajiv Ranjan Singh bhi shaamil huve. Trinamool Congress ney bhi is ijlaas mein hissa liya tha aur un ki taraf se Sudip Bandyopadhyay mojood rahay.

Ijlaas mein un rehnumao ko sahet, Dakhli umoor aur dehi taraqqi sameit mutadid mehakmoun ke Secretary ne Corona ki mojooda sorat e haal se aagah kiya. Taham Wazeer e Azam Modi se mulaqaat ke douran mutadid Opposition rehnumao ney mulk mein Corona se ladnay walay sahet se wabsta kaarkunoun ke liye zaati hifazati saz-o-samaan ( PPE Kit ) ki kami ka maamla uthaya. Isi ke sath hi kayi senior rehnumao ney Wazeer e Azam ko ye bhi mashwara diya ke Parliament House ki nai imarat ke tamirati kaam ko roka jaye, Jo senkdoun Crore ki laagat se horaha hai. –YTN STAFF