New York: Duniya ke kayi mumalik ki janib se Coronavirus ki rokk thaam ke liye kiye gayr Lockdown mein narmi ke baad jummay ko aalmi manndi mein tail ki qeematoun mein izafah dekhnay mein aaya. Bartanwi khabar rasan Agency ke mutabiq umeed zahir ki ja rahi hai ke Coronavirus ki wajah se honay wali muashi tabahi ke baad ab tail ki talabb mein izafah hoga. Tail ki Market mein mandi duniya bhar mein beshtar mumalik ki janib se Lockdown aur safri pabandioun ki wajah se huvi thi.
Coronavirus ko phelnay se roknay ke liye China ke baad America aur kayi Europi mumalik ney baday shehroun ko Lockdown kar ke Transport par pabandi lagai jis ki wajah se tail ki talabb mai kami peda hogayi thi. Lockdown mein narmi ke baad Brint Crude Oil ki qeemat mein fi Barrel 47 Cents ya daidh feesad ka izafah huwa aur ye 29. 33 Dollar par pahonch gaya jabkay jumaraat ko is mein ek feesad ke qareeb kami waqay huvi thi. Americi tail ki qeemat mein 48 Cents ya daidh feesad fi Barrel izafah huwa jabkay is se ek roz qabal is ki qeemat mein taqreeban 2 feesad kami huvi thi.
April mein tail ki qeematoun mein zabardast kami ke baad dosray haftay Brent Crude aur Americi tail ki qeematoun mein izafah dekhnay mein aa raha hai. April mein Americi tail ki Market tabah hogayi thi, Taham talabb mein izafay ke imkanaat ko dekhte huve Crude Oil be ab samandar mein mojood Tankers aur Storage mein jama kiya ja raha hai. Oklahoma America mein tail zakheera karne ki gunjaish mein rawan haftay 4 lakh 7 hazaar Barrel ka izafah huwa hai. Wazeh rahay ke is se qabal April mein tail ki talabb mein kami ke baad America mein tail zakheera karne ki gunjaish khatam ho gayi thi. Deegar mumalik ke baad Australia bhi Lockdown aur pabandioun mein narmi karne ja raha hai. Zaraye ney kaha hai ke hukoomat 4 haftoun mein batadreej pabandioun mein narmi keregi. France, Americi aur deegar kayi mumalik bhi pabandioun ko kam karne ki mansoobah bandi kar rahay hain. –YTN STAFF