Monday, April 29, 2024
HomeSliderLockdown ki khilaaf warzi karne waloun ko bhoot bangloun mein qayed kiya...

Lockdown ki khilaaf warzi karne waloun ko bhoot bangloun mein qayed kiya jane laga

Jakarta: Duniya bhar mein Lockdown aur Quarantine ke nateejay mein arboun afraad gharoun tak mehdood hain aur bala-zarorat baher janay ki pabandi hai. Taham mutadid afraad un pabandioun ki parwa nahi karte aur baher niklana pasand karte hain aur un ke khilaaf Police sakht iqdamaat bhi kar rahi hai lekin Indonesia mein Lockdown ki khilaaf warzi karne walay ke khilaaf anokhi saza ikhtiyar ki gayi hai jaissa ke Lockdown ki pabandioun ko todnay walay afraad ko asaib zada gharoun mein saza ke tor par band kiya janay laga hai.

Indonesia ke soobay wasti Java ke ilaqay Sragen regency se talluq rakhnay wali sayasatdan ku Kusdinar Untung Yuni Sukowati  ke mutabiq un ki janib se rawan haftay ye hukum nama is waqt jari kiya gaya jab Jakarta aur deegar shehroun se mutadid afraad is ilaqay mein aeye jo ke Lockdown ki khilaaf warzi hai. Taham un naye anay waloun mein se beshtar afraad 14 din tak Quarantine ki hidayat par amal nahi kar rahay they, Jis ka maqsad is par hujoom khittay mein Coronavirus ko phelnay se rokna hai.
Kusdinar Untung  ne muqami baradrioun ko hukum diya ke wo aisay weraan gharoun ke baare mein batayen jin ko asaib zada samjha jata hai, Is ilaqay mein to ham parasti bohat ahem hai jis mein Indonesia look kahaaniyoun ka kirdaar numaya hai. Ab tak Quarantine ki khilaaf warzi par 5 afraad ko aisay gharoun mein band kiya ja chuka hai.

Sayasatdan ne Media se baat karte huve kaha ke gaon mein kisi bhi khaali aur asaib zada ghar mein aisay logoun ko band kardiya jata hai. Sepat nami gaon mein hukkaam ne ek taweel arsay se khaali ghar ka intikhab kiya aur wahan bestaroun ko kuch faaslay se rakh kar pardoun se un ko allag kardiya. Is gaon mein ab tak haal hi mein lotney walay 3 afraad ko zabardasti band kiya gaya hai taakay wo haftay ka Quarantine is asaib zada jagah par guzaraian.
Un mein se 1 shakhs ne kaha ke is saza ke douran ab tak is ka saamna kisi bhoot se nahi huwa magar jo hona hota hai wo hokar rehta hai, Mein jaanta hon ke ye sab ke tahaffuz ke liye hai aur mein ne sabaq seekh liya hai.

Is se qabal Java Island  ke ek gaon mein logoun ko gharoun se nikal ne se roknay ke liye bhootoun ki khidmaat haasil ki gayi thi. Java Island ke ek gaon ki galiyo mein aaj kal bhoot ghoom rahay hain taakay logoun ko gharoun ke andar rehne par majaboor kar saken aur Coronavirus se tahaffuz faraham kiya jasakay.

Gaon ke nojawanoun ke Group ke sarbarah ne bataya hum kuch mukhtalif aur aisa ta-assur peda karna chahtay they jo logoun ko khaufzadah kar sakay. Is group ne Police ke sath mil kar samaji doori ko farogh dainay ke liye ye munfarid hikmat e amli apanee hai aur usay tawaqqa hai ke sadiiyoun purani to ham parasti logoun ko gharoun tak mehdood rakhay gi. Safaid chadaroun mein malbous pur asraar bhootoun jaisay afraad ko muqami tor par Pokonqa kaha jata hai jis ke liye wo apne cheharoun par sufoof mil letay hain aur ankhoun ko koylay se siyah kar lete hain.

Indonesia ki look kahaniyoun mein is terhan ke bhootoun ka zikar mojood hai jin ke baare mein jata hai ke mout ke baad un ki roohein zameen par phas gayeen. Magar rawan mah jab ye bhoot gaon ki galiyoun mein namodaar huve to loog khaufzadah hokar gharoun mein dabkane par majboor hogaye. Yaad rahay ke Indonesia mein mulk geer satah par Lockdown ki jagah hukoomat ki janib se logoun par samaji doori aur achi safai ki mashq par zor diya ja raha hai. –YTN STAFF