Friday, May 10, 2024
HomeHyderabadLockdown ke fori baad walidain apne bachoun ko School rawana karne ke...

Lockdown ke fori baad walidain apne bachoun ko School rawana karne ke haq mein nahi

Hyderabad: Shehar Hyderabad mein bohat se walidain aindah taleemi saal ke aaghaz aur Schools ki dobarah kushadgi par apne bachoun ko fori tor par School bhejnay ke liye tayyar nahi hai kyunkay inhen Corona ka hanooz khadsha hai ke School mein fori talba ki aamad se kahin halaat phir sangeen nah hojaen aur un ka bacha waba ka shikaar nah hojaye.

Walidain ke Platform Parent Circle ke zareya kiye gaye ek survey mein Hyderabad mein 53 feesad walidain ne jawab diya ke wo apne bachoun ko School bhejnay se pehlay School dobarah kholnay ke baad ek mah tak ka intezaar karenge. Survey mein inkishaaf kiya gaya hai ke shehar mein 22 feesad walidain kam se kam 6 mah tak apne bachoun ko School bhejnay se guraiz karna chahtay hain aur 18 feesad walidain gharelo taleem ko hi ikhtiyar karne par gour kar rahay hain.

Hyderabad Schools Parents Association ke Joint Secretary ke Venkat  Sanath ne kaha jaisay hi Schools dobarah khultay hain to walidain bachoun ko School bhejnay ke liye tayyar nahi hain kyunkay inhen Schools ke zareya kiye jaaney walay hifazati iqdamaat par aetmaad nahi hai. Chunkay bachoun mein Infection ka ziyada khatrah hota hai lehaza walidain inhen hifazati iqdamaat par aetmaad haasil karne ke baad hi School bhejenge.
Mulk care Survey mein 12 hazaar jawab dahindgaan ne bachay ki zindagi ke un hissoun ka ihata kiya jis mein School ki taleem, Dosray bachoun ke sath khelna, Saalgirah ki taqrebaat, Malls, Films aur Restaurants ka dora, Deegar sar garmioun ki Classes, Kheloun aur Fitness, Public Transport aur chuttiyan shaamil hain. Baday shehroun se anay walay jawab dahindgaan mein se 92 feesad walidain apne bachay ko Schools ki dobarah kushadgi ke baad fori tor par School bhejnay par raazi nahi hain.

Survey ke deegar shobo mein, Hyderabad mein 58 feesad walidain ney kaha ke wo 2020 mein apne bachoun ko saalgirah ki taqreeboo mein nahi bhejen ge aur 41 feesad agar salamati aur jismani doori ke iqdamaat mustahkam tor par mojood hon to wo bhejnay ko tayyar hain. Isi terhan, Lockdown ke baad 84 feesad afraad kam az kam 3 mah tak kisi bhi Restaurants janay ka iradah nahi kar rahay hain, 54 feesad ney kaha ke wo 2020 ke baqi arsa mein Malls aur Films ko nahi jayenge. Sirf 0.21 feesad hi Malls aur Films ko janay ka mansoobah rakhtay hain.

Survey ke mutabiq 58 feesad logoun ney mehsoos kiya ke mustaqbil qareeb mein tatilat mein khandani safar karna khatrah hai. Isi terhan 39 feesad ney mehsoos kiya ke Public Transport kaafi muddat ke liye bohat khatarnaak hoga. Alawa azeen 45 feesad afraad ney aglay 6 mah tak kheloun ki sar garmioun ko roknay ka mutalba kiya hai jabkay 26 feesad ney infiradi kheloun ki himayat ki hai aur 22 feesad faisla karne se qassar hain. Is survey mein inkishaaf kiya gaya ke 72 feesad talba musafah karne ke bajaye namaste karna chahtay hain.

Is Survey par tabsarah karte huve, Parent Circle ke baani aur Managing Director Nilena Ramalaxmi ney kaha hai ke walidain ki bhaari tadaad pareshan aur khair yaqeni soorat e haal ka shikaar hai aur mazeed kaha, Walidain ko yaqeen dehani ki zaroorat hai ke un ke bachay School, Group sar garmioun aur deegar awaami maqamat par mehfoos rahenge kyunkay mojooda halaat mein wo apne bachoun ko ghar mein rehne aur mehfooz rehne ko tarjeeh denge. –YTN STAFF