Sunday, May 5, 2024
HomeJurmLockdown ke douran hyderabad mein cyber crime mein izafah

Lockdown ke douran hyderabad mein cyber crime mein izafah

Hyderabad: Saal 2020 mein Technology ke istemaal mein ( corona aur lock down ki badolat ) achanak taizi dekhnay mein aayi aur iske sath hi shehar mein cyber crime ke waqeyat mein bhi izafah hua hai. Rachakonda cyber team ke mutabiq lock down ke baad rawan saal cyber crime khaas tour per khawateen ke khilaaf jaraim mein dugna izafah hua hai.

Rachakonda ki cyber crime ki team ne 30 sala shakhs ko khawateen ko cyber harasani karne ke ilzaam mein girftar kiya. Rachakonda cyber crime ke ACP ne kaha hum ne guzashta chand mahino se chori aur chain cheennay jaisay deegar jaraim ki sharah mein kami dekhi hai.

Is ki wajah yeh hai ke wabai amraaz ki wajah se log gharon mein hi qaid hogaye hain aur mujrim jismani taur jaraim injaam dainay mein nakaam hain lekin is ke bar-aks hum ne cyber crime ki shikayaat mein qabil-e-zikar izafah dekha hai, Jo guzashta saal ke muqablay mein isi arsay ke douran dogni hogayi hain.

Hamein cyber crime ki mutadid shikayaat masool hui hain, jin mein cyberabad sulooki, ghair mazhabani guftagu, fehash tasaveer, dhamkion, badniyati par mabni e-mails ki shikayat ziyada hain. Unhon ne kaha is Sarif ka khatah heiek kiya gaya, tawwan ki maang, black mail aur bohat kuch masail ke sath awam ne shikayat darj ki hain.

Cyber crime ki wardaton mein Ramesh ko jaali Facebook ID bananay, khawateen ko harasan karne ke ilzaam mein girftar kiya gaya. Mulzim ke zareya ek khatoon ko black mail karne ki shikayat ke baad police ne tehqiqaat ka aaghaz kya.

ACP Hari Nath ne kaha hum ne guzashta chand mahino mein chori aur chain cheennay jaisay deegar jaraim ki sharah mein kami dekhi hai. Is ki ahem wajah yeh hai ke lockdown ki wajah se log gharon ke andar hi hain aur mujrimoun ko raastoun par koi nishana bananay ke liye dastyab nahi hai lehaza mujrimon ne cyber juraim ki simt apni tawajah karli hai.