Wednesday, May 1, 2024
HomeOthersTechnologylockdown ke douran Group calling mein 1 hazaar feesad izafah

lockdown ke douran Group calling mein 1 hazaar feesad izafah

Hyderabad: Coronavirus ki wajah se saari duniya mein Lockdown hai aur loog gharoun mein qayed hokar rahay gaye hain lekin is douran logoun ne Social Media par ziyada waqt guzarna shuru kardiya hai. Coronavirus ki waba ke nateejay mein duniya bhar mein Social Media ke istemaal mein izafah huwa hai aur sab se ziyada faida Facebook ki Apps ko huwa hai.

Facebook ki sah mahi Report jari karte huve Mark Zuckerberg ne kaha pehli baar har mah 3 Arab se ziyada afraad Facebook Instgram, WhatsApp Messenger istemaal kar rahay hain, Jis mein sirf Facebook ke 2 Arab 60 Crore se zayed afraad hain jabkay 2 Arab 30 Crore se zayed afraad rozana hamari kisi ek Service ko istemaal kar rahay hain. Dar haqeeqat 3 Arab ki tadaad bohat badi hai kyunkay duniya bhar mein Internet ke majmoi sarfeen ki tadaad 4 Arab 70 Crore ke qareeb hai.

Coronavirus se ziyada mutasir mumalik mein Facebook ki Services mein Messaging, Voice aur Audio Calling ki tadaad mein bhi bohat ziyada izafah huwa hai. Mark Zuckerberg ke mutabiq misaal ke tor par Italy mein hamari Apps par guzaray jaane walay waqt mein 70 feesad izafah huwa, Instagram aur Facebook live View ek haftay mein dugna badh gaye, Jabkay Group Video Calling ki sharah mein 1 hazaar feesad izafah hochuka hai.

Unhoun ne kaha ke Company ki janib se Services ko hamwar tareeqay se chalanay ke liye kaam kiya ja raha hai aur ek bada Challenge hai kyunkay hamari temen is waqt gharoun se kaam kar rahi hain. Facebook ne haal hi mein messenger zoom nami Video Feature muta-arif karwaya hai jis ke zariye 50 afraad Video Conference ka hissa ban satke hain jabkay is ke liye Facebook Account ki bhi zaroorat nahi, Isi terhan WhatsApp ne Video aur Audio Call mein sarfeen ki hadd ko 4 se badha kar 8 afraad kardiya.

Doosri janib is waba ke nateejay mein Twitter sarfeen ki tadaad mein bhi izafah huwa hai. Rawan saal ki pehli sah mahi ke douran is Social Media Side ke rozana sarfeen ki tadaad 16 crore 60 lakh tak pahonch gayi jo ke guzashta saal ke isi arsay mein 13 crore 40 lakh thi. Company ke CEO jack Dorsey ne apne bayan mein kaha is mushkil waqt mein Twitter pehlay se ziyada ahem hochuka hai, Hum logoun ko maloomat ki tarseel mein madad kar rahay hain aur logoun ko ek munfarid zareya faraham kar rahay hain taakay wo ikathay hokar ek dosray ki madad ya tafreeh faraham kar saken. –YTN STAFF