Tuesday, May 14, 2024
HomeIndiaLockdown ke bawajood Delhi mein sadak haadsat

Lockdown ke bawajood Delhi mein sadak haadsat

New Delhi: Hindostan ke dar-ul-hukoomat Delhi mein sadak hadsoon ke darmain amwaat koi nai baat nahi hai, Lekin herani ki baat ye hai ke is saal ke ibtidayi 7 mahino ke darmain coronavirus ki wajah se beshtar auqaat lockdown ka nifaz raha, Phir bhi sadak hadsoon ke sabab badi tadaad mein amwaat dekhnay ko mili hain.

Traffic Police se haasil adaad-o-shumaar ke mutabiq is saal yakam January se 31 July tak Delhi mein jumla 2164 sadak haadsay hue jin mein 557 loog halaak hue aur 1908 afraad zakhmi hue. Qabil ghhor baat ye hai ke mehloken mein 265 loog aisay hain jo hit and run ka shikaar huve. Yani unhein kis neh takkar maari, Ya phir is haadsa ka zimma daar kon tha, Ye pata hi nahi chal saka. Qabil zikar baat ye hai ke is baar bhi mehloken ki fehrist mein guzashta saal ki terhan paidal chalne walay afraad ki tadaad ziyada hai.

Is saal hue jaan lewa hadso ka agar guzashta saal se mawazna kiya jaye to pata chalta hai ke yakam January 2019 se 31 July 2019 tak 862 jaan lewa sadak haadsay hue, Jab ke 2020 mein ye tadaad 543 rahi. Goya ke guzashta saal ke muqablay 319 sadak haadsay kam hue hain. Lekin lockdown ke nifaz ko mad-e-nazar rakha jaye to 543 hadsaat aur un mein huvi 557 amwaat tashweesh-naak hain. Is saal 31 July tak hue jaan lewa sadak hadso mein sab se ziyada 243 paidal chalne walay loog halaak hue hain. Is ke baad motorcycle sawaron ka number aata hai jin ki tadaad 199 rahi. Teesray number par aisay loog hain jo apni hi ghalti se sadak hadso ka shikaar hue aur mout ki goad mein chalay gaye. Aisay logon ki tadaad 48 bataye ja rahi hai.