Tuesday, April 23, 2024
HomeOthersBusinesslockdown ke baad Airlines ki khidmaat mein marhalawaar towsee, 14 April ke...

lockdown ke baad Airlines ki khidmaat mein marhalawaar towsee, 14 April ke baad ki Booking ki ijazat

Hyderabad: Hindustan bhar ke awam is umeed mein hai ke 14 April ko jab 21 dinoun ka Lockdown khatam hojayega to zindagi ek dam se mamool par aajayegi aur masrofiyat zindagi dobarah isi raftaar se dodnay lagegi jaissa ke wabai marz Corona se pehlay daurti thi lekin agar 14 April tak halaat mukammal behtar bhi hojaien to sab kuch ek sath shuru honay ka imkanaat nahi hain jaissa ke ohdedaroun ne kaha hai ke mumkin hai ke hukoomat 14 April ki aadhi raat ko 21 roza Lockdown ko khatam karne ke baad Hindustan mein gharelo aur bain ul aqwami parwazoun ke amal ku batadreej agaye bhadne ki ijazat day sakti hai.

Huwa baazi ke shobay ko Coronavirus wabai marz ne shadeed mutasir kiya hai. Air Deccan is bohraan ka taaza tareen shikaar ban gaya kyunkay is ne Flight Operation ghair muayana muddat ke liye moattal karne ka elaan kiya aur tamam mulazmeen ku tankhawo ke bakheer ruqsat per jane ki hidaayat di hai. Chunkay Hindustan mein ye Virus ab bhi phail raha hai, Hum 14 April ke baad gharelo aur bain ul aqwami parwaaz ke kamoun ko marhala waar andaaz mein ijazat dainay ke baarey mein soch rahay hain. Airlines 14 April ke baad kisi bhi tareekh ke liye Booking lainay mein azad hai. Taham agar 14 April ke baad Lockdown mein towsee ki jati hai to Airlines ko is muddat ke liye farokht honay wali Tickets ko mansookh karna padega. –YTN STAFF