Hyderabad: Qarz daar ko harasan karne ke ek aur waqea mein ek aur fori qarz ki app ka muamlay mein samnay aaya hai jahan qarz daar ne police mein shikayat darj karwai hai.
Saeedabad police ne qarz ke vajbat ko ada karne ke liye app executive ke zareya harasan kiye jane walay ek mutasirah shakhs ki shikayat ke fori baad qarz ki app ke khilaaf shikayat darj kar di hai.
Saeedabad ki singareni colony ke rehaishi aur shikayat kanandah sai arvind dolori ne November ke mahinay mein maai bank se 3500 rupay qarz liya tha aur finance company ne apni katoti ke baad usay 2,600 rupay ki raqam di thi. Jaisay hi is shakhs ne raqam bar waqat ada kardi to company ne usay 30,000 rupiya ka mazeed qarz ki paish kash ki aur 50 hazaar rupay wapas karne ki hidaayat di. Is ke vaad Arvind ko ek haftay mein 55,000 sood ke sath ada karne ke liye dabao dala jane laga.
Aakhri tareekh ke baad shikayat kanandah ko company ke executive ka cal masool hua jis par is ne do din ki mohlat talabb ki taham, Customer care executive ne usay dhamki di aur apne tamam rabton ko phone par phone karna aur inhen is ke baray mein aagah karna shuru kardiya. Unhon ne dabao daalnay ke liye iski tasaveer ko tabdeel karte hue usay is ke rishte daar ki tasaveer whatsapp group par share kee. Is ke doston aur rishta daaron ke paas calls aur is ki tabdeel shuda tasaveer masool honi shuru hui theen jis ki wajah se woh zehni tor par pareshan hogaya.
Alawa azeen arvind ko badnaam karne ke liye is ki walida ki tasaveer bhi share kee hain. na qabil-e-bardasht harasan honay ki wajah se shikayat kanandah ne Saeedabad police se rujoo hua aur shikayat darj karwai. Ek shikayat ki bunyaad par police ne IPC ki dafaa 384, 420, 504, 506 aur AP Telangana money launder act ki dafaa 3 aur 13 ke tehat muqadma darj karkay tafteesh shuru kardi.