Tripoli: Libya ki mashriqi Forces National Army ( LNA ) ke Commander Khalifa Haftar ne aalmi satah par tasleem shuda hukoomat GNA ki janib se elaan kardah jung bandi ko mustard kardiya. Al Jazera ki Report ke mutabiq LNA ke tarjuman Ahmed Mismari ne kaha ke hareef Forces jung zada mulk ke maghrib se markaz ki janib badh rahi hain. Unhoun ny kaha ke mashriqi Forces sahili shehar Sirte aur Jufra mein kisi qisam ke hamlay ka jawab dainay ke liye tayyar hain.
Khalifa Haftar ki janib se Libya ki hukoomat ke jung bandi ke elaan aur tail ki rukavate khatam karne ke mutalbe ke baad pehla bayan samnay aaya hai jabkay is se qabal koi rad-e-amal nahi diya gaya tha. Ahmed Mismari ne kaha hai ke Fayez al-Sarraj jin iqdamat par dastakhat kiye hain wo media marketing ke liye hai, Halaank Sirte mein hamari Forces par hamlay ke liye fouj aur asleha jama kiya gaya hai.
Unhoun ne kaha kay Al-Sarraj jung bandi chahta hai to apni forces ko Sirte mein hamari taraf bhedne ke bajaye peechay hatnay ka hukum day. Khayaal rahay ke Libya ke mashriqi ilaqay ki parliament ke Speaker Aguila Saleh ne bhi GNA ki janib se jung bandi ke elaan ka khair muqaddam kiya gaya tha halaank Aguila Saleh khalifa Haftar ke haami hain. Taham Ahmed Mismari ne Aguila Saleh aur un ke ittihadi Misar ke khair muqadmi bayan par koi tabsarah nahi kiya.
Libya mein is se qabal honay walay mazakiraat mein commander Khalifa Haftar ka fa-aal kirdaar ada karte they aur un ka ahem kirdaar hota tha lekin ab mehsoos hota hai ke ab inhen ghair-faaal kardiya gaya hai. Commander Haftar ki janib se is se qabal rawan baras January mein bhi Turkey aur Roos ki koshisho ko bhi mustard kardiya tha jabkay GNA ki hukoomat ne Moscow mein muahiday par dastakhat karne ki haami bhari thi.
Wazeh rahay ke GNA ne 22 August ko Libya bhar mein fori jung bandi ke sath parliamani aur sadaarti intikhabaat ka elaan kiya tha. Libya ki hukoomat ny Sirte shehar se bhi fouj hataane ka mutalba kiya tha, Jis ke baad 9 saal khanah jungi ke shikaar mulk mein aman ki bahaali ki umeeden peda huvi theen. Report mein kaha gaya tha ke GNA ke sarbarah Fayaz Al-Sarraj ny tamam security forces ko hidayat jari ki hain ke fori tor par jung bandi ki jaye aur mulk bhar mein jari karwaiyon ko khatam kardiya jaye.
Unhoun neh kaha ke is elaan ka maqsad Libya ki hudood mein mukammal khud mukhtari aur bairooni Forces ki be dakhli ko yaqini banana hai. Commander Haftar ke haami Libya ki parliament ke speaker Aguila Saleh neh dono fariqain ko is elaan par amal karne par zor dete hue kaha ke jung bandi se bairooni forces ko Libya mein mudakhilat ka mauqa nahi miley ga. Doosri janib Misar ke sadar Abdel Fattah Al-Sisi ne apne bayan mein Libya mein jung bandi ke elaan ka khair muqadam kiya hai jahan Misar Commander Haftar ki himayat mein mojood hai aur un ke sath Mutahidda Arab Emarat aur Roos bhi shaamil hai.
Isi terhan Libya ki hukoomat ko Turkey aur Qatar ki himayat haasil hai aur Turk Forces bhi mojood hain, Jin ki badolat badi kamiyabiyan bhi mili theen. Yaad rahay ke Libya mein taweel arsay tak hukmarani karne walay Muammar Gaddafi ke khilaaf 2011 mein NATO ittehaad ki himayat se karwai shuru ki gayi thi aur inhen iqtidaar chhodna pada tha jis ke baad mulk mein inteshaar ki fiza mein mazeed izafah hogaya tha. Libya mein taweel arsay tak hukmarani karne walay Muammar Gaddafi ki hukoomat ko 2011 mein shuru honay wali muhim Arab bahar ke douran khatam kar diya gaya tha.
Muammar Gaddafi ke khilaaf maghribi mumalik ney karwaiyon mein hissa liya tha taham un ke iqtidaar ke khatmay ke baad Libya mein kasheedgi mein mazeed izafah huwa aur khanah jungi shuru hui jahan ek taraf askriat pasand mazboot hue to doosri taraf general khalifa Haftar ney apni Malaysia banai aur ek hissay par apni hukoomat qaim kar li. General khalifa Haftar ki Malaysia ney rawan baras April mein Trablus ka muhasra kar liya tha aur hukoomat ke nizaam ko darham barham kardiya tha aur un ko khittay ke ahem mumalik Saudi Arab, Misar aur Mutahidda Arab Emirate ka taawun haasil tha.