Wednesday, May 7, 2025
HomeSliderliverpool ka 30 sala intezaar khatam, English Premier League khitaab jeet liya

liverpool ka 30 sala intezaar khatam, English Premier League khitaab jeet liya

London: Liverpool Football Club ne 30 saal ke intezaar ke baad bil akhir English Champion ka taaj apne sar saja liya. Guzashta raat Manchester City aur Chelsea ke darmain huve match mein Chelsea ne Manchester City ko 1-2 gole se hara diya jis se Liverpool English Premier League ka faateh ban gaya. Is match se pehlay Liverpool nishanaat ke jadole par pehlay number par tha jab ke Manchester City dosray aur Manchester City ke harnay ki soorat mein Liverpool League Points Table par League ka faateh ho jata aur aisa hi huwa.

Liverpool football club ka shumaar England ke kamyaab tareen football Clubs mein se hota hai aur rawan saal EPL jeetnay ke baad Liverpool aalmi champion, Europi Champion honay ke sath sath ab England ka bhi faateh ban gaya hai. 30 saal baad League jeetnay ka sehra Liverpool ke manager Jurgen Klopp ke sar jata hai, Jin ke anay ke baad se Liverpool ki fatohat ke silsilay ka aaghaz huwa tha. Rawan saal corona waba ke baais duniya bhar mein kheloun ke muqablay mutasir huve thay aur England ki Premier League bhi ta-attul ka shikaar huvi thi.

Ta-attul ke douran kuch mahireen ne kaha tha ke chunkay virus ki mojoodgi mein khelna mushkil hai lehaza league ko is saal khatam kar diya jaye jis ki soorat mein koi bhi team faateh qarar nah paati lekin 17 June ko league ka dobarah aaghaz huwa aur ab Liverpool league ki faateh qarar payi

Liverpool ney is season mein jumla 38 mein se filhaal 31 match khailay hain jin mein se usay sirf ek match mein shikast huvi aur 2 match Draw huve. Isi shandaar karkardagi ke baais season ke 7 match baqi rehne ke bawajood Liverpool itna jaldi champion ban gaya. Dilchasp baat ye ke Liverpool ka agla match doosri maqam par mojood Manchester City ke sath hai aur is match mein Manchester city ke khiladioun ko Liverpool ke khiladioun ko Champions ki salami dena pade gi corona waba ke baais football matches mein shaiqeen ko dakhlay ki ijazat nahi di gayi is liye Liverpool ke shaiqeen khil kar is jeet ka jashnn nahi mana saken ge.