Tuesday, May 7, 2024
HomeLatest NewsLibya mein jung bandi aur intikhabaat ke liye raah hamwar

Libya mein jung bandi aur intikhabaat ke liye raah hamwar

Tripoli: Libya mein wifaqi hukoomat aur Parliament mukammal jung bandi aur jald intikhabaat par mutfiq hogaye. Aqwam mutahidda ki sarparasti mein mazakraat ki bahaali ke baad nai sadaarti Council ki tashkeel ki bhi hidayat ki hai. Bain ul aqwami fariqain neh is ka kher muqaddam karte hue kaha hai ke is iqdaam se Libya mein tasfie ki raah peda hogayi hai.

Arab media ke mutabiq Libya mein Americi sefartkhane nay Twitter par bayan mein kaha ke Libya mein aqwam mutahidda ke mission wifaqi hukoomat ke sarbarah Fayez Al Sarraj aur Libya ke Speaker Aguila Al Saleh ke bayanaat ka kher muqaddam karte hain. Ye Libya ke sab shehrion ke mafaad mein hain. Italy ke daftar-e-kharja nay is ghair mutawaqqa tabdeeli ka kher muqaddam karte hue kaha ke Libya ke fareeqon ko jung bandi par nazar rakhni hogi. France ke daftar-e-kharja nay bhi kaha ke Libya mein jung bandi ka elaan misbet qadam hai. Moscow nay elaan ka kher muqaddam karte hue Libya mein siyasi amal shuru karne ki appeal ki hai.

German wizarat kharja ne bayan mein kaha hai ke elaan be hadd ahem hai. Ye jung se tabah shuda mulk ke tanaza ke hal ki jahat mein ahem tabdeeli hai. Aqwam mutahidda ke matehat askari committee aur Berlin Conference ke shirka Libya ke tamam fareeqon se jung bandi ke elaan par amal daraamad karayen. Arab league ne jung bandi ke elaan ko ahem qarar dete hue umeed zahir ki ke kash Libya ki fouj aur wifaqi hukoomat ke darmain jari mazakraat jald az jald kisi nateejay tak pohnchain aur koi paidaar hal nikal aaye. Ghair mulki mudakhilat band ho.

Misar nay jo is se qabal Turk himayat yafta Group ko Sirte shehar ki taraf peshqadmi ki soorat mein fouji mudakhilat ka andia day chuka tha jung bandi ke elaan ka kher muqaddam kiya hai. Misri Sadar Abdel Fattah Al-Sisi nay bayan mein kaha ke jung bandi ke elaan ka kher muqaddam karte hain. Ye siyasi tasfie ki raah mein ahem qadam hai. Jung bandi ke elanaat se istehkaam aur qudrati wasail ke tahaffuz ki baabat Libya ke awam ki umeeden poori honay ki raah peda hogi.

Algeria ke wazeer kharja Sabri Boukadoum nay jald az jald seyasi samjhote par amal dar-amad ki appeal ki hai. Samjhote par amal daraamad ki Appeal ki hai. Urdan ke daftar-e-kharja nay tamam mutharab fareeqon se kaha kay wo bohraan ke khatmay ke liye thos siyasi mazakiraat karen. Libya ki wifaqi hukoomat nay apne bayan mein pooray mulk mein jung bandi ka elaan karte hue kaha ke mutanazia Strategic shehar Sirte ko asleha se pak kiya jaye aur March mein parliamani-o-sadaarti intikhabaat karwaye jayen.

German wizarat kharja ne bayan mein kaha hai ke elaan be hadd ahem hai. Ye jung se tabah shuda mulk ke tanaza ke hal ki jahat mein ahem tabdeeli hai. Aqwam mutahidda ke matehat askari committee aur Berlin Conference ke shirka Libya ke tamam fareeqon se jung bandi ke elaan par amal daraamad karayen. Arab League ne jung bandi ke elaan ko ahem qarar dete hue umeed zahir ki ke kash Libya ki fouj aur wifaqi hukoomat ke darmain jari mazakiraat jald az jald kisi nateejay tak pohnchain aur koi paidaar hal nikal aaye. Ghair mulki mudakhilat band ho.

Aqwam mutahidda ke mission baraye Libya ne Twitter ke apne Account par jung bandi ke elaan ka kher muqaddam kiya. Yaad rahay ke fariqain ne ye elaan achanak kiya hai. Kayi mah se wifaqi hukoomat usay mustard kar rahi thi. Is ne kaha tha ke Sirte aur Al Jufra par is ka control qaim nahi hoga is waqt tak jung bandi manzoor nahi hogi. Sirte bahera Room ke saahil par waqay Libya ka ahem shehar hai. Is ke qareeb hi ahem Oil Refiner mojood hain. 2011 mein Colonel Muammar Gaddafi ki hukoomat ka takhtah ulatnay ke baad se Libya mein inteshaar hai. Bairooni takten is mein mudakhilat kar rahi hain. Haal mein Turk hukoomat ki mudakhilat ne Libya ke bohraan ko mazeed dhamaka khaiz banadiya hai.