Beirut: Lebanon mein taaza ladai do baday firqa waranah garohoon ke mabain ek mohlik jung ney mulk mein mazeed tashadud ka mahol peda kar rahi hai, Kyunkay muashi badhaali aur siyasi tanao ke sabab mulk is ahem maqam par khada hai jahan awam mein be cheeni hai jis ka wo izhaar tashadud ke zareya karne par amaada ho chukay hain. Guzashta raat firing ke tabadlay mein Lebanon ke dar-ul-hukoomat ke junoob mein Khaldeh ke ilaqay mein 2 afraad, Ek 13 sala Lebnani sunni ladka aur ek Shami shakhs halaak hue hain. Is ladai mein Machine Gun aur Rocket se chalne walay dasti bomb istemaal kiye gaye they. Aini shahideen ne kaha ke yeh ladai chaar ghantay tak jari rahi.
Ek Sunni Arab qabeela jis se is ladke ka talluq hai is par Iran ke himayat yafta Shia Group Hezbollah ke firing karne ke ilzaam hai. Is ilaqay mein Lebnani fouj ki bhaari nafri ko tainaat kiya gaya tha kyunkay ek group ki janib se lagaye gaye ek poster ke baad kasheedgi badh gayi hai. Lebanon ke kasheeda halaat ke douran sadar Michel Aoun ny 31 August ko tareekh ko muqarrar ki hai taakay parliament se mushawarat ki paband ki ja sakay aur hukoomat ke liye naye Wazeer-e-Azam ko naamzad kere.
Sabiq rehnumao ke qareebi zaraye ney kaha hai ke sadar Aoun ko siyasi ikhtiyar nah dainay ka faisla kiya ja raha hai aur yeh dekhnay ke liye intezaar karna pade ga ke paiir se kon hukoomat ki baag dorr apne haath mein le ga. Taraqqi pasand socialist party ke rehnuma Walid Jumblatt ney kaha mashwaray talabb karne aur Taif muahiday ki khilaaf warzi karne mein takheer ke baad aisa maloom hota hai ke kuch siyasi quwaten pehlay hi ek naye aeen ki jaanch kar rahi hain aur kuch loog is ka mutalba kar rahay hain.
Aoun ne parliament ke Speaker Nabih Berri ki agli hukoomat ki sarbarahi ke liye Hariri ko naamzad karne ki tajweez par aiteraaz kiya aur Hezbollah ne bain ul aqwami adalat insaaf ke judge Nawaf Salam aur Bank ke naib governor rehne walay Mohammad Basseri ko naamzad karne par aiteraaz kiya hai.