Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsLebanon mein Jummey ki Namaz Masajid mein ada karne ki ijazat

Lebanon mein Jummey ki Namaz Masajid mein ada karne ki ijazat

Beirut: Lebanon mein 22 May se jummey ki Namaz Masajid mein ada karne ka elaan kiya gaya hai taham deegar namazain gharoun mein hi ada karna hongi. Tafseelaat ke mutabiq Lebanon mein mehakma Islami uqaaf ne bayan mein kaha hai ke corona ki waba se mutaliq sahet hukkaam ki Reports ki bunyaad par farz Namazain Masajid mein ada karne ki ijazat tadreeji tor par di jayegi.

Mehakma uqaaf ne Namazioun se kaha hai ke wo jummey ke Namaz ada karne ke liye Masajid atay waqt sahet ke zawabit ki pabandi karen aur wazu ghar se kar ke ayen. Masjid mein daakhil honay se qabal Sanitizing ka ihtimaam kare. Dastane pehne aur Mask ka estemal kare.

Har Namazi Janimaz ghar se le kar aeye aur Masjid mein dakhlay se qabal darjah hararat Check karaye. Mehakma uqaaf ne ye bhi pabandi lagai hai ke lailaaj amraaz aur corona ki alamatoun walay kisi bhi shakhs ko jumma padne ke liye Masjid mein daakhil nahi honay diya jayega.

Is ke ilawa bodhoun ko bhi jummey ki Namaz ke liye Masjid mein daakhil honay ki ijazat nahi hogi. Bayan ke mutabiq khawateen aur bachoun par jummey ki Namaz farz nahi is liye wo sab gharoun mein Zoher ki 4 rak-at Namaz ada karen. Mehakma uqaaf ne Masajid ke  tamam Aima se kaha hai ke jummey ka khutba 10 minute se ziyada na de aur Masjid mai samaji fasle ke yehtemam kiya jaye. –YTN STAFF