Thursday, May 16, 2024
HomeTrending NewsLebanon mein dhamaka, America madad ke liye tayyar

Lebanon mein dhamaka, America madad ke liye tayyar

Washington: Americi sadar Donald Trump ne Lebanon ke dar-ul-hakoomat Beirut mein hue khofnaak dhamakay ko khofnaak hamla qarar dete hue har mumkin imdaad ki yaqeen dehani karwai hai. Donald Trump ne sahafion se guftagu karte hue kaha ke ye ek khofnaak hamla maloom hota hai. unhoun ne mazeed kaha ke America Lebanon ke sath khada hai aur har mumkin imdaad ke liye tayyar hai.

Is se qabal Americi wazeer kharja Mike Pompeo ne kaha ke Beirut mein khofnaak dhamakay ki theqeqi report ka America muntazir hai. Mike Pompeo ne ek bayan mein kaha ke hum samajte hain ke Lebanon hukoomat dhamakay ki wajohaat ka pata laganay ke liye jaanch mein masroof hai. Hum jaanch ke nataij ka intezaar kar rahay hain. Wizarat kharja poori sorat-e-haal par nazar rakhay hue hai aur Lebanon ki har terhan se madad karne ke liye tayyar hai.

America ne is dhamakay ke baad zehrili gasson ke ikhraj ki baat kahi hai aur haadsay ke aas paas rehne walay logon ko gharon se bahar nah anay ka mashwara diya hai. Americi mehakma kharja ne hidaayat nama jari karte hue kaha ke hum lebnani dar-ul-hukoomat Beirut mein hue dhamakay ki report par nazar rakhay hue hain. Is dhamakay ke baad zehrili gasson ke ikhraj ki it-tila-aat samnay aa rahi hain, Is liye haadsay ke aas paas rehne walay logon ko gharon se baher nah anay ka mashwara diya jata hai. Wazeh rahay ke Lebanon ke dar-ul-hukoomat Beirut mein ek bandargaah par mangal ki shaam hue zabardast dhamakay mein kam az kam 80 afraad halaak aur 4000 se zayed deegar zakhmi hogaye thay.