Beirut: Lebanon mein Coronavirus ka phelao roknay ke liye jumaraat 30 July se 2 haftay ke liye lockdown ka elaan kiya gaya hai. Arab media ke mutabiq labnani wazeer sehat ne tamam ahteyati tadabeer ke hawalay se muashray mein nazam-o-zabt ki kami aur be-parwai ko tanqeed ka nishana banaya aur intibah kiya ke ab waba khatarnaak moud par hai.
Yaad rahay ke Lebanon mein paiir ko corona ke tasdeek shuda maamlon ki tadaad 135 tak pahonch gayi hai. Hafta ku Feb ke baad sab se ziyada 175 mamlaat samnay aaye thay. Labnani wazeer e azam Hassan Diab ki sarbarahi mein Covid19 wazarti committee ke ijlaas ke baad wazeer sehat hamad hasan nay kaha ke ye tadaad bohat badi hai aur sangeeni ki taraf ishara hai.
Unhoun neh mazeed kaha ke ek haftay ke ander Virus teezi se phelao ek aur ishara tha ke kiya ho raha hai. Ek mutasirah shakhs se ab 3 afrad mein infection phail raha hai. Unhoun neh mazeed kaha ke lockdown 30 July se 3 August 6 aur 10 August taq hai jis mein Eid ul Adha ke ayyam shamil hain. Is iqdam ka maqsad dawakhanon par kam dabao kam karna hai.