Thursday, May 9, 2024
HomeTrending NewsLebanon ki France ki madad qubool karna zaroorat

Lebanon ki France ki madad qubool karna zaroorat

Beirut: Lebanon 4 August ko zor daar dhamakay ke nateejay mein Beirut ki tabah shuda bandargaah ki tamirِno ke liye sirf France ki pesh kash ko qubool karsaktha hai. Lebanon ko Qatar, Turkey, China aur baaz dosray mumalik ne bandargaah ki tamirno ke liye muawnat ki pesh kash ki hai lekin Lebnani zaraye ke mutabiq Lebanon ka jhukao France ki janib hai. America ke ek aala ohday daar bhi jumaraat ki shab Beirut poanch rahay hain. Qabal azeen Lebnani hukkaam ne kaha hai ke un se Israel ke sath sarhad ki hadbandi ke maslay par baat cheet ki jaye gi.

Ab 2 lebnani zaraye ny kaha hai ke Americi mehakma-e-kharja ke David Hale baraye siyasi umoor David Hale Beirut ki tabah shuda bandargaah ki tamirِno ke muamlay par bhi baat cheet karen ge.

Beirut ki markazi bandargaah ki tabahi ke baad ab Lebanon Trablus mein waqay apni doosri badi bandargaah ko istemaal kar raha hai aur maal bardaar jahaaz wahein langerandaz ho raha hai. Is ke ilawa Lebanon ke junoob mein baaz choti bandargahen waqay hain.

Lebanon ke sarkari zaraye ne kaha hai ke France Beirut ki bandargaah ki tamirno ke mansoobay par kaam kere ga. Is bandargaah ki tamirno ke kaam mein dilchaspi ka izhaar karne walay 2 mumalik Qatar aur Turkey ke Arab aur khliji reyaston se taluqaat kasheeda hain jabkay China ke America ke sath rozbaroz bigadtai hue taluqaat ke pesh-e-nazar Lebanon ke liye France hi ek behtar madadgaar mulk saabit ho sakta hai aur tawaqqa hai ke wo UAE se mil kar is tamirati mansoobay par kaam kere ga.

Ek aur lebnani zariye ney apni shanakht zahir nah karne ki shart par media se guftagu karte hue kaha hai ke ab tak Lebanon mein is baat par ittafaq raye huwa hai aur ye baat hamaray bhi mafaad mein hai ke hum France ke sath mil kar kaam karen. Agar aisa hota hai to is se America bhi nalan nahi hoga.

Unhoun ney mazeed kaha ke agar hum China ke sath jatay hain to phir America Lebanon ke khilaaf dabao ki muhim jari rakhay ga. Jahan tak Turkey aur Qatar ka talluq hai to un dono mumalik ke  AlIkhwan Al-Muslimoon. se taluqaat aur Arbo se mokhasimat kisi bhi tor Lebanon ki madad nahi kere gi.

Ek dosray zariye ne kaha ke Lebanon ka behtareen mafaad France ke sath mil kar kaam karne mein muzmer hai. Is terhan koi bhi ye mehsoos nahi kere ga ke hum is ke khilaaf jarahay hain. Beirut mein tabah kun dhamakay se bandargaah ko shadeed nuqsaan pouncha aur wo istemaal ke qabil nahi rahi hai. Is dhamakay ke nateejay mein marnay walon ki tadaad 170 se matjawez hochuki hai aur 6 hazaar se ziyada afraad zakhmi hue hain. Beirut ke Governor Marwan Abboud ke mutabiq is waqay mein hazaron emiratein tabah hogayi aur kam se kam 3 lakh afraad be ghar hue hain.