Wednesday, May 15, 2024
HomeWorldLebanon ke khilaaf Israel ko America ki himayat

Lebanon ke khilaaf Israel ko America ki himayat

Moscow : America ne kaha hai ke woh Lebanon ke haliya missile hamla ko dekhte hue Israel ke sath khada hai aur mukammal tor par is ke apne difaa ke haq ki himayat karta hai.

Bain ul aqwami muzakraat ke liye America ke khusoosi numainday jason greenblatt ne tweet kia keh Lebanon ki janib se Israel mein missile daghe gaye. Iran ko Lebanon aur Gaza mein khusoosi ikhtiyarat haasil hai jis se Israel ko nuqsaan hota hai.

America Israel ke sath khada hai aur tamam tarhan ke hamloun ke khilaaf apni hifazat ke is huqooq ki himayat karta hai.

Israel ne kul hizab ullah mukhalif muhim ke tehat apni sir had ke qareeb Lebanon ke junglon mein drone se aatish ashiya giraya. iske baad radd-e-amal mein Lebanon ne bhi Israel ke ilaqon ko nishana banatay hue kayi tank shikan missile daaghe . iske baad Israel ne Lebanon ki junoobi bastiyon par taqreeban 100 tope ke golay daghe.

August mein Israel aur Lebanon ke darmiyan kasheedgi is waqt badh gayi thi jab Israel ne bairout ke qareeb Iran himayat Yafta hizab ullah ki muhim se mutaliq daftar par drone hamla kiya aur sath hi is ne mashriqi Lebanon mein waqay Falasteeni thikanon par bhi hamlay kiye.

kasheedgi ke darmiyan arab league ne Lebanon ke sath yakjahti ka izhaar kiya hai aur sath hi yeh bhi kaha ke moujooda soorat-e-haal Israeli qayadat ke gharelo mafadaat ko poora karti hai. –YTN STAFF