Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderLebanon aur Israel mazakirat ke qareeb: America

Lebanon aur Israel mazakirat ke qareeb: America

Washington: Beirut aur Tel Aviv apni mutanazia sarhadoon par ek Frame Work par ittafaq karne ke qareeb hain. Un khayalat ka izhaar ek senior Americi ohdedar ney khittay ke safar se wapsi ke baad kiya. Lebanon aur Israel takneeki tor par jung ki haalat mein hain, Lekin haliya mutalaat mein samandar ke kinare qudrati gas ke zakhair ko zaher talash karte hue Washington ki tavajja apni taraf mabzol karwane ke liye dono mumalik ki sarhadon par ek muahiday par salsi ki hai.

Kayi Americi Envoys ne dono mumalik ke mabain mushtarqa bunyaad talaash karne ki koshish ki hai. Taham mashriqi umoor ke Americi Assistant Secretary David Schenker ne kaha ke is mein pesh raft ho rahi hai. Schenker ne phone ke zareya media numaindon se kaha hai ke mujhe lagta hai ke hum qareeb aa rahay hain aur is se Lebanon aur Israel dono ke liye kuch haqeeqi pesh raft ka mauqa miley ga.

Americi sifaratkar ek aisay muahiday ki taraf ishara kar raha tha jo haqeeqat mein sarhadoon par mazakirat shuru karna ke Frame Work ko faraham kere ga. Schenker neh kaha ke Frame Work ahem tha aur usay bohat pehlay mukammal kar liya jana chahiye tha. Unhoun neh un nakaat ki wazahat nahi ki jo hatmi moahida ke douran kiye jayen ge.

Lebanon aur America ke mabain jari tabadlah khayaal se waaqif senior siyasi zaraye ne kaha hai ke Schenker se tawaqqa ki jati hai ke woh Beirut ke safar ke douran is muahiday ka elaan karen ge. Schenker ne kaha mujhe umeed hai ke anay walay hafton mein Lebanon jaakar is muahiday par dastakhat karne ke qabil hon ge.

Lebanon mein aqwam mutahidda ki aman fouj zameeni sarhad par kisi muahiday taq pounchanay ke liye kaam jari rakhay hue hai, Jisay filhaal aqwam mutahidda ke zareya blue line se allag kardiya gaya hai. Kam az kam teen mukhtalif Americi mandobeen ne samandari sarhad ke tanaza ko hal karne mein madad ke liye ahem safarti koshishen ki hain. 2012 mein, , Frederick Hoff ne khaas tor par mutanazia paanion ko hadef line ban’nay ke sath taqseem karne ki tajweez pesh ki. Is se Lebanon 500 murabba kilometer ka faasla tey kere ga.