Friday, April 19, 2024
HomeLatest NewsLB stadium mein munaqidah TRS ka awaami jalsa buri tarha hua fail...

LB stadium mein munaqidah TRS ka awaami jalsa buri tarha hua fail : Hanumanth Rao

Hyderabad : Sabiq MP , V Hanumanth rao ne hafta ko kaha ke shehar ke LB Stadium mein Barsar Iqtidaar party TRS ki janib se munaqidah awaami jalsa buri tarhan fail saabit huwa hai. sahafion se khitaab karte hue Hanumanth rao ne kaha ke awam KCR ke aam jalson mein nahi aaye gi, jaisay woh ramadaan, Christmas aur Bathkuma ke tehwaron ke liye atay hain. unhon ne mazaq mein kaha ke’ ‘ jab KCR chacha the aur AIMIM cheif Asaduddin Owaisi unke bhatije they.

TRS leader Harish rao par tabsarah karte hue Hanumanth rao ne kaha ke sabiq wazeer ne party ki taraqqi ke liye bohat kuch kiya hai, lekin KCR ke betay KTR party mein harish rao ko darkanar kar rahay hain. congress leader Hanumanth rao ne passion goi ki  KTR ko tabah kiya jayega .

Hanumanth rao ne kaha ke riyasat mein congress saddar Rahul Gandhi ke jalsa kamyaab honge, kyunkay party Iqtidaar mein anay ke baad mulk ke ghareeb khandano ko congress salana 72 hazaar rupiye degi .

Unhon ne TRS se janna chaha ke woh telngana ke leader YS Jagan mohan reddy ki himayat kyun kar rahi thi, aur unhon ny taajjub ka izhaar kiya ke TDP sarbarah  Chandra Babu Naidu ke sath aisa kyun nahi kiya gaya .-YTN STAFF