Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaLalu Prasad Yadav Ko Zamanat Mil Gayi

Lalu Prasad Yadav Ko Zamanat Mil Gayi

Ranchi : RJD ke qaumi saddar Lalu Prasad ko Deoghar Treasury se ghair qanooni nikasi muamlay mein Jharkhand high court nay zamanat dedi hai. adalat nay RJD sarbarah Lalu prasad ko 50.50 hazaar rupiye ke machalkay par zamanat di hai. sath hi adalat nay inhen apna passport jama karne ka bhi hukum diya hai.

Deoghar Treasury muamlay mein saza ki nisf muddat Guzar jane ko bunyaad banakar Lalu Prasad Yadav ki janib se zamanat ki darkhwast dair ki gayi thi. is par samaat karte hue high court nay Lalu Prasad Yadav ko zamanat di. sabiq cheif minister Lalu Prasad ke zareya aadhi saza kaatnay ki bunyaad par Supreme court aur high court nay kayi Mulzimin ko zamanat di hai .

Isi ko buniyad banatay hue Lalu Prasad ney zamanat ki arzi dair ki thi. is muamlay mein CBI ki janib se pehlay hi ek darkhwast dair ki gayi hai is mein high court se saadhay teen saal ki saza ko badhaane ki guzarish ki gayi hai. CBI ney kaha hai ke Lalu Prasad ke sath deegar kayi Mulzimin ko 5 saal ki saza sunai gayi hai halaanke Lalu Prasad ko abhi jail mein hi rehna hoga kyunkay unke khilaaf do deegar muamlay mein bhi muqadma chal raha hai. un dono maamlon mein zamanat milnay ke baad hi Lalu Prasad jail se bahar aainge.

Yaad rahay ke mutahidda Bihar mein arboun rupay ke Ghotala mein surkhyon mein chaaye charah ghotale se munsalik chouthay maamla mein markazi tafteeshi bureau( CBI ) ki khusoosi adalat ney Bihar ke sabiq chief minister aur ( RJD ) ke sadar Lalu Prasad Yadav ko saat 7 saal ki saza sunai thi.

CBI ke khusoosi judge Shivpaal singh ney damka Treasury se ghair qanooni nikasi se maamla mein samaat ke baad Yadav ko tazirat hind ki mukhtalif daf-aat mein mujrim qarar dainay ke baad yeh saza sunai thi. is ke alawa adalat ney anti corruption act ki daf-aat mein bhi RJD saddar Lalu Yadav ko saat saal ki saza ke sath 30 laakh rupay jurmana aed kya. jurmana ki raqam nah dainay par Yadav ko ek saal ki izafi saza bhugatni hogi.

Isse qabal adalat ney 19 March 2018 ko Lalu yadav sameit 19 mulzimaan ko mujrim qarar diya tha jabkay sabiq chief minister Dr jagnnath misar aur public accounts committee ke is waqt ke sadar Dhoro bhagat sameit 12 mulzimaan ko saboot ki Adam mojoodgi mein bari kar diya. –YTN STAFF