Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaLalu Prasad Yadav ek aur charah ghutala case ke silsilay mein CBI...

Lalu Prasad Yadav ek aur charah ghutala case ke silsilay mein CBI adalat mein pesh hue

Ranchi: Rashtriya Janata Dal ( RJD ) ke sarbarah Lalu Prasad Yadav ne jumaraat ke roz yahan ek aur charah ghutala case mein apna bayan qalamband karne ke liye Ranchi ki, CBI ki khusoosi adalat mein pesh hue. Lalu Prssad ko Rajendra Institute of Medical Science ( RIMS ) Ranchi ke ward se CBI adalat laya gaya. Inhen issi ke ki khusoosi CBI adalat mein pesh kiya gaya. Charah ghutala case mein un ka bayan record kiya jaye ga.

Lalu Prasad ko charah ghotale ke 4 muqadmaat mein saza sunai gayi hai. Inhen 14 saal qaid ki saza sunai gayi hai. Lalu Prasad Yadav charah ghotale ke jumla 6 muqadamat mein mulzim hain. Inhen Jharkhand ke 5 mein se 4 muqadmaat mein saza sunai gayi hai. Saza sunanay ke baad, Inhen Ranchi ki Birsa Munda central jail bhaij diya gaya tha. Wahan un ki tabiyat kharab honay ke baad inhen Rajendra Institute of medical science ( RIMS ) mein daakhil karaya gaya tha.

Doctoron ne bataya ke Lalu 11 shadeed bimarioun mein mubtala hain. Police nigrani mein un ka hospital mein ilaaj jari hai. Ranchi ki CBI adalat mein panchwin case ki samaat jari hai. Doranda  khazanay case mein ab tak majmoi tor par 111 mulzimaan aur 107 bayanaat qalamband ho chuke hain.

Wazeh ho ke, Lalu Prasad Yadav ke chhootay betay aur bahhar ke sabiq naib wazeer aala Tejashwi Yadav, Shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke hawalay se Bihar ki Nitish Kumar hukoomat par hamla kar rahay hain. Jumaraat ke roz Tejashwi Yadav ne kaha ”Nitish Kumar jee ko jhutay propaganda mein mahaarat haasil hai. Wo dohray miyaar ko apnate hue awam ko uljhane ke liye naye naye bhais badalty hain.

Unhoun ne kaha ”Phele to Nitish jee ki party ne parliament ke dono aiwanoun mean aeen mukhalif, ghareeb mukhalif, CAA ki himayat ki thi, Lekin ab wo awam ko uljhane ke liye keh rahay hain ke, Bihar mein NRC laago nahi karen ge. Kiya wazeer aala ko ye nahi maloom hai ke un ke haath mein kiya tha, Unhoun ne wahan to CAA ki himayat karkay apna haqeeqi aeen mukhalif rang dikha ya hai. –YTN STAFF