Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadLalapet flyover ka marammati kaam guzishta 6 mah se jari, awam pareshan

Lalapet flyover ka marammati kaam guzishta 6 mah se jari, awam pareshan

Secunderabad: Marammat ke kaam ke liye taqreeban 6 mah se band rehne ke baad, Lalapet flyover aglay mahinay awam ke liye kholdi jayegi. Greater Hyderabad Municipal corporation ( GHMC ) ne is saal May mein fly over par marammat ka kaam shuru kiya tha.

August tak ye kaam mukammal honay ki tawaqqa ki jarahi thi, takheer ke nateejay mein musafiron ko badi takleef horahi thi jo baqaidagi se iska istemaal sainikpuri, ECIL x roads aur Maula Ali se Tarnaka , Habshiguda aur Nacharam ki taraf jatay they.

Flyover ki marammat ke kaam mein takheer ki wajah awam ko jo pareshani horahee hai iske tehat laxmi narayan media numainda se izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke mere bachay shantinagar mein apne school pohanchanay ke liye school bus mein 6 kilometer izafi safar kar rahay hain. Lalapet fly over pichle 6 mahino se marammat ke tehat band hai aur kisi ko andaza nahi hai ke marammat kitney mahino mein hogi. is fly over ke baad sadak intahi qabil reham haalat hai. fly over ka dora karne walay mayor fly over ke neechay sadkon ki intahi kharab haalat dekhanaa bhool gaye. mein uljan ka shikaar hon.

Fly over ke ek taraf marammat ka kaam GHMC aindah mahinay ke pehlay hafta tak mukammal karlega. Lalapet road aur uppal ke ek taraf ka marammat ka kaam mukammal hochuka hai aur doosri taraf pul ke neechay kaam jari hai. ghair mutawaqqa pareshani ki wajah se kaam mein takheer hui jo barring ki jagah lainay ke gardar uthane ke baad hi dekha gaya.

GHMC ke ek engineer ne ye tafseelaat faraham ki hain. 1990 mein is pul ki taamer ke baad GHMC ne chand mah qabal pehli martaba fly over ki marammat aur bahaali ka kaam shuru kiya tha. marammat ke kaam ki sust raftaar ne mayor Bonthu rammohan ko bhi barham kardiya hai jo august ke aakhri haftay mein fly over ka muaina karne gaye they aur unhon ne GHMC ke ohdedaron ko sust kamon ki sarznish ki thi. –YTN STAFF