Lucknow: Lakhimpur Kheri mein ek Wazeer ki gaadi mubeena taur par muzahireen ko raoundne ke baad 8 afraad ki halakat ke waqia ke 4 din baad Uttar Pradesh police ne 2 afraad ko giraftar kiya jinki shanaqt laokish Rana aur Ashish pande ke naam se huwi hai jabke markazi Wazeer mumlikat Ajay Mishra teni ke bete Ashish Mishra ka abhi tak pata nahi chal sakaa hai. Police ne bataya ke giraftar hone wale dono afraad Ashish ke qareebi saathi hain aur mazeed chaape maare ja rahe hai.
Jume raat ko supreme court ne Uttar Pradesh hukoomat se ek din ke ander report paish karne ke chand ghante baad police ne yeh baat kahi hai ke is muqadme ke silsile mein ab tak kitni giraftariyan huwi hai. Adalat ne kaha ke state report mein hamein in 8 afraad ke barein mein bhi batai jo maare gaye hain. Kisan sahafi wagaira yeh ek afsos naak waqia hai. Hamein bataye ke aap ne kis ke khilaf FIR darj karwayi. Chief justice NV ramna ne kaha ke aap ne kitne logon ko giraftar kiya hai.
Lakhimpur Kheri khairi tashaddud ne ek bada siyasi toofan khada kar diya hai kyun ke markazi mulzim Ashish Mishra jiska naam police FIR mein darj hain. Wazeer mamlikat barai daqila Ajay Mishra teni ka beta hai. Opposition leader Ajay Mishra ko hatane ka mutaliba kar rahe hai. Wazeer mamlikat ne Wednesday ko New Delhi mein markazi Wazeer daqila Amit shah se mulaqat ki. Ajay Mishra yeh dawa karte rahe hai ke unka beta is car mein maujood nahi tha jo muzahireen par chada di gayi thi. Unho ne dawa kiya hain ke pathar baazu ke hamle ke baad driver ne tawazun kho diya aur phir kuch muzahireen gaadi ke neeche aagaye. Wazeer ne dawa kiya hain ke baad mein iske driver ko mardiya gaya aur gaadi ko aag lagadi gayi.
Ashish Mishra ka naam liya gaya hai aur kaha gaya hai ke woh gaadi Chala Raha tha jo muzahireen par chad gaya. FIR ke mutabiq Ashish ne gaadi se utarne ke baad firing bhi ki aur phir woh ruposh hogaya taa hum is waqia ki ek taaza video se pata chalta hai ke Lakhimpur Kheri khairi tashaddud mein 3 cars mulawwis thi aur woh cars kisi hamle ki zad mein nahi aaye pehli car ne muzahireen ke ek giroh ko takkar maari jo gair mutawaqqeh taur par tez raftar se chal rahe the uske baad do dusri cars bhi aaye.