Friday, May 3, 2024
HomeIndiaKya Yes Bank bhi bohraan ka shekar hugaya, ATMs par taweel qatarain,...

Kya Yes Bank bhi bohraan ka shekar hugaya, ATMs par taweel qatarain, Awam pareshan

New Delhi: Hindustan ki maeeshat is waqt bohraan se dochar hai aur Banks ki soorat e haal bhi din bah din badter hoti ja rahi hai. Bohraan ki wajah se pehlay hi kayi khangi Banks dewalia ka shikaar huve aur ab is mein ek aur naam ka izafah huva hai. Khangi shoba ke Yes Bank par Reserve Bank of India ( RBI ) ne kuch pabandiyan laga di hain.

Markazi hukoomat se salah o mashwara ke baad RBI ne faisla kiya hai ke aindah ek mahinay tak Yes Bank se koi bhi Account Holder 50 hazaar rupay se ziyada paisa nahi nikaal paye ga. RBI ki ye pabandi aindah mah 3 April 2020 tak ke liye nafiz ul amal hai. Is faislay ke sath hi Hindustan bhar mein Yes Bank se pesey nikaalne ke liye awam ki ATMs ke samnay taweel qatarain dekhen jarahi hain aur kayi afraad ku taweel qataar mein waqt guzaarnay ke bawajood khaali haath lootna pad raha hai.

 Tafseelaat ke mutabiq Yes Bank par lagi pabandi har qisam ke Accounts par nafiz hogi. Is ke alawa agar kisi shakhs ke Yes Bank mein ek se ziyada Accounts hain to bhi wo sirf 50 hazaar rupay hi nikaal sakta hai. Ek sarkari aalamia mein is silsilay mein tafseeli hidayat di gayi hain. RBI ki pabandi ke baad se Yes Bank ki Mobile aur Internet Banking khidmaat bhi Down ho gayi hai. Yes Bank se paisa nikaalne par pabandi lagnay ki khabar phelnay ke baad Yes Bank ke Account Holders pareshan hain aur kayi logoun ko ATM se paisa nikaltay huve bhi dekha gaya hai. Halaank RBI ne kaha hai ke ghabranay ki baat nahi hai aur bohat jald sab kuch theek ho jaye ga.

Is ke alawa RBI ne Yes Bank ko Board Of Director ke Officers par bhi karwai ki hai. Darasal Yes Bank ke Board Of Directors ko tahleel karne ka faisla liya gaya hai aur SBI ke sabiq Deputy Managing Director aur CFO Prashant Kumar ko filhaal Yes Bank ki zimma daari sambhalnay ki hidaayat di gayi hai.

RBI ke bamujab Yes Bank lagataar NPA ke masla se nabrad aazma hai, Jis ki wajah se ye faisla lena pada hai. RBI ke zareya jari hidayat ke mutabiq Yes Bank mein Saving Account, Current Account ya kisi deegar Account se ek mahinay ke douran 50 hazaar rupay se ziyada ki raqam nahi nikaali ja sakay gi. –YTN STAFF