Friday, April 26, 2024
HomeOthersOpinionkya yeh bacha aap ka hai?!

kya yeh bacha aap ka hai?!

Aftab Ahmed Khan
Koi bacha aap ke paas rehta hai? gharon mein maujood bachay bzahir to aap ke sath hain lekin dar haqeeqat woh aghwaa ho chuke hain. Aap ke bachay appki goad mein honay ke bawajood tahazeeb maghrib ki aagosh mein qaid hain. Aalam kufar darwazay toad kar aur deewaren phalang kar aap ke gharon mein ghus kar aap ke bachay aghwaa kar raha hai. Aap ka Tv aur deegar screens aur taleemi nizaam aap ke bachon ke dimaghon par qabza kar rahay hain. Un ke dilon ko siyah aur paragandah kya ja raha hai. Un ke kaan aur ankhen haya se aari aur madarpidar- azad banai ja rahi hain. Goya un ke aaza katay ja rahay hain. Ab yeh sirf maskh- shuda lashain hain. Bachon ka chehra samnay hona hi un ka maujood ya mehfooz hona nahi kehlata. Aap ki beti ke sar se dupatta sarak kar badan se bhi jaan chuda raha hai. Woh ab yeh boojh bardasht nahi karpati. Woh ghar chalana aur ghar banana chod rahi hai woh bahar ki duniya mein intererested hogayi hai. Phir bachay honay ke bawajood maaen be aulaad kar di gayi hain aur aaj ki beti kal ki maa ban’nay ke laiq nahi chodi ja rahi hai. Usay zehni o jismani taur par baanjh kya ja raha hai. Hum bachon ko apne hathon se bhaari fees day day kar is tahazeeb ke hawala kar rahay hain. Woh tahazeeb ke jis ne aap se aap ka khaaliq cheena aur aap ki anay wali naslen bhi. Yeh bachay nahi agli nasal ke walidain aghwaa ho rahay hain. Aur yeh aghwaa shuda bachay kal ko kis terha ke maa baap hon ge? Is ka tasawwur bhi bhayanak hai. Jab tarbiyat ka pehla madrassa maa hi uda diya jaye. Baap ko be haya o azad kardiya jaye to usay kehte hain kidnapping aur yeh hotay hain asal misng persons, jinhein utha liya jaye jo duarah nazar na ayen aur chand roz baad jin ki maskh shuda laash miley un par to phir bhi sabr aasakta hai. Lekin jab naslen aghwaa ho jaien. Jo nazron ke samnay hokar bhi kisi aur ki peirokaar hon to fikar honi chahiye. yeh fikar abhi kiijiye aur jaan rakhen ke jo aap ke paas hai, woh aap ke sath nahi.